surud-e-shabana
nīm-shab chāñd ḳhud-farāmoshī
mahfil-e-hast-o-būd vīrāñ hai
paikar-e-iltijā hai ḳhāmoshī
bazm-e-anjum fasurda-sāmāñ hai
ābshār-e-sukūt jaarī hai
chār-sū be-ḳhudī sī taarī hai
zindagī juzv-e-ḳhavāb hai goyā
saarī duniyā sarāb hai goyā
so rahī hai ghane daraḳhtoñ par!
chāñdnī kī thakī huī āvāz
kahkashāñ nīm-vā nigāhoñ se
kah rahī hai hadīs-e-shauq-e-niyāz
sāz-e-dil ke ḳhamosh tāroñ se
chhan rahā hai ḳhumār-e-kaif-āgīñ
aarzū ḳhvāb terā rū-e-hasīñ
nim-shab chand KHud-faramoshi
mahfil-e-hast-o-bud viran hai
paikar-e-iltija hai KHamoshi
bazm-e-anjum fasurda-saman hai
aabshaar-e-sukut jari hai
chaar-su be-KHudi si tari hai
zindagi juzw-e-KHawab hai goya
sari duniya sarab hai goya
so rahi hai ghane daraKHton par!
chandni ki thaki hui aawaz
kahkashan nim-wa nigahon se
kah rahi hai hadis-e-shauq-e-niyaz
saz-e-dil ke KHamosh taron se
chhan raha hai KHumar-e-kaif-agin
aarzu KHwab tera ru-e-hasin
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 34)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.