surud
maut apnī na amal apnā na jiinā apnā
kho gayā shorish-e-gītī meñ qarīna apnā
nāḳhudā duur havā tez, qarīñ kām-e-nahañg
vaqt hai pheñk de lahroñ meñ safīna apnā
arsa-e-dahr ke hañgāme tah-e-ḳhavāb sahī
garm rakh ātish-e-paikār se siina apnā
sāqiyā rañj na kar jaag uThegī mahfil
aur kuchh der uThā rakhte haiñ piinā apnā
besh-qīmat haiñ ye ġham-hā-e-mahabbat mat bhuul
zulmat-e-yās ko mat sauñp ḳhazīna apnā
maut apni na amal apna na jina apna
kho gaya shorish-e-giti mein qarina apna
naKHuda dur hawa tez, qarin kaam-e-nahang
waqt hai phenk de lahron mein safina apna
arsa-e-dahr ke hangame tah-e-KHawab sahi
garm rakh aatish-e-paikar se sina apna
saqiya ranj na kar jag uThegi mahfil
aur kuchh der uTha rakhte hain pina apna
besh-qimat hain ye gham-ha-e-mahabbat mat bhul
zulmat-e-yas ko mat saunp KHazina apna
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 46)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.