sudi begam
kaun hai suudī begam
us ko jānte ho tum
vo jis ke qabze meñ the raziya ke kañgan
jis ke hāthoñ meñ thī raziya kī har aatī jaatī saañs kī Dor
jis ke paas paḌe the us ke girvī ḳhvāb
raziya kī shādī sar par thī
aur dil meñ thā
suudī begam kī suudī āñkhoñ kā ḳhauf
suudī begam ke changul se
sūd-o-ziyāñ ke is jañgal se
raziya bhāgnā chāhtī thī
varna ik din suudī begam
us ke ik ik pal kā sonā khā jā.egī
aur us ke bāloñ meñ chāñdī aa jā.egī
raziya ke andeshe us ko Daste rahte
rātoñ ko uTh uTh kar is par hañste rahte
be-kal be-kal rotī rahtī
raziya bhal-bhal rotī rahtī
us ke hoñToñ aur gāloñ se hijrat kar ga.ī saarī laalī
rote rote ik din raziya kī āñkheñ bhī ho ga.iiñ ḳhālī
ḳhālī āñgan ḳhālī bartan
aur andar ke ḳhālī-pan se aajiz aa kar
roz roz kī is uljhan se aajiz aa kar
us ne ik tarkīb nikālī
gullak toḌā
sikke joḌe
chappal pahnī
majbūrī kī chādar oḌhī
ghar se niklī
rickshaw pakḌā
aur ik bank ke darvāze pe jā utrī vo
bank meñ pahlā qadam rakhā to us kī chappal
moTe se qālīn meñ dhañs ga.ī
raziya phir ġhunDoñ meñ phañs ga.ī
kaun hai sudi begam
us ko jaante ho tum
wo jis ke qabze mein the raziya ke kangan
jis ke hathon mein thi raziya ki har aati jati sans ki Dor
jis ke pas paDe the us ke girwi KHwab
raziya ki shadi sar par thi
aur dil mein tha
sudi begam ki sudi aankhon ka KHauf
sudi begam ke changul se
sud-o-ziyan ke is jangal se
raziya bhagna chahti thi
warna ek din sudi begam
us ke ek ek pal ka sona kha jaegi
aur us ke baalon mein chandi aa jaegi
raziya ke andeshe us ko Daste rahte
raaton ko uTh uTh kar is par hanste rahte
be-kal be-kal roti rahti
raziya bhal-bhal roti rahti
us ke honTon aur galon se hijrat kar gai sari lali
rote rote ek din raziya ki aankhen bhi ho gain KHali
KHali aangan KHali bartan
aur andar ke KHali-pan se aajiz aa kar
roz roz ki is uljhan se aajiz aa kar
us ne ek tarkib nikali
gullak toDa
sikke joDe
chappal pahni
majburi ki chadar oDhi
ghar se nikli
rickshaw pakDa
aur ek bank ke darwaze pe ja utri wo
bank mein pahla qadam rakha to us ki chappal
moTe se qalin mein dhans gai
raziya phir ghunDon mein phans gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.