sui
maiñ tumheñ
us nazm se banā.ūñgā
jo maiñ ne
ajā.ib-ghar kī sīḌhiyoñ par
baiTh kar likhī hai
us udāsī se banā.ūñgā
jo merī nazm
aur āñkhoñ meñ maujūd hai
maiñ tumheñ
us ḳhvāb se banā.ūñgā
jo merī raat se bāhar nahīñ aatā
aur us dil se banā.ūñgā
jis meñ tumhārī yaad
ek suuī kī tarah aTkī huī hai
maiñ tumheñ banā.ūñgā
is udāsī kī tarah
is nazm kī tarah
chamaktī huī aur nok-dār
is suuī kī tarah
main tumhein
us nazm se banaunga
jo main ne
ajaib-ghar ki siDhiyon par
baiTh kar likhi hai
us udasi se banaunga
jo meri nazm
aur aankhon mein maujud hai
main tumhein
us KHwab se banaunga
jo meri raat se bahar nahin aata
aur us dil se banaunga
jis mein tumhaari yaad
ek sui ki tarah aTki hui hai
main tumhein banaunga
is udasi ki tarah
is nazm ki tarah
chamakti hui aur nok-dar
is sui ki tarah
- Book : saarii nazmen (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.