sukha tanha patta
us bairī kī ūñchī choTī par vo sūkhā tanhā pattā
jis kī hastī kā bairī hai patjhaḌ kī rut kā har jhoñkā
kaash mirī ye qismat hotī kaash maiñ vo ik pattā hotā
TuuT ke jhaT us Tahnī se gir paḌtā kitnā achchhā hotā
gir paḌtā us bairī vaale ghar ke āñgan meñ gir paḌtā
yuuñ un pāzeboñ vaale paañv ke dāman meñ gir paḌtā
jis ko mere aañsū pūjeñ us ghar ke ḳhāshāk meñ mil kar
jis ko mere sajde tarseñ us dvāre kī ḳhaak meñ mil kar
us āñgan kī dhuul meñ mil kar miTtā miTtā miT jaatā maiñ
umr bhar un qadmoñ ko apne siine par muztar paatā maiñ
haa.e mujh se na dekhā jaa.e aayā havā kā jhoñkā aayā
Dāliyāñ larzīñ Tahniyāñ kāñpīñ lo vo sūkhā pattā TuuTā
us bairi ki unchi choTi par wo sukha tanha patta
jis ki hasti ka bairi hai patjhaD ki rut ka har jhonka
kash meri ye qismat hoti kash main wo ek patta hota
TuT ke jhaT us Tahni se gir paDta kitna achchha hota
gir paDta us bairi wale ghar ke aangan mein gir paDta
yun un pazebon wale panw ke daman mein gir paDta
jis ko mere aansu pujen us ghar ke KHashak mein mil kar
jis ko mere sajde tarsen us dware ki KHak mein mil kar
us aangan ki dhul mein mil kar miTta miTta miT jata main
umr bhar un qadmon ko apne sine par muztar pata main
hae mujh se na dekha jae aaya hawa ka jhonka aaya
Daliyan larzin Tahniyan kanpin lo wo sukha patta TuTa
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 61)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.