sukhe patte
vaqt ke tez-rau bagūloñ meñ
sūkhe pattoñ ke Dher ke mānind
uḌte jaate haiñ galiyoñ galiyoñ meñ
jaane kis aag ke jahannum meñ
jaane kis ġhaar meñ gireñge ham
nahīñ ik dūsre kī ham ko ḳhabar
tez āñdhī hai qatl aur ḳhuuñ kī
har taraf nafratoñ kā tūfāñ hai
aur havāoñ meñ hai lahū kī bū
aag ke tez-o-tund tūfāñ meñ
uḌte jaate haiñ jalte jaate haiñ
sūkhe pattoñ ke Dher ke mānind
waqt ke tez-rau bagulon mein
sukhe patton ke Dher ke manind
uDte jate hain galiyon galiyon mein
jaane kis aag ke jahannum mein
jaane kis ghaar mein girenge hum
nahin ek dusre ki hum ko KHabar
tez aandhi hai qatl aur KHun ki
har taraf nafraton ka tufan hai
aur hawaon mein hai lahu ki bu
aag ke tez-o-tund tufan mein
uDte jate hain jalte jate hain
sukhe patton ke Dher ke manind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.