sukhi Tahni par hariyal
ham-chashmoñ ke ġhol magan haiñ shāḳhoñ par
ḳhush-raftār havā.eñ pañkhe jhaltī haiñ
gūlar ke kachche phal bhī har jānib haiñ
mīThe paanī vaalī jhiil hai pahlū meñ
mausam kī shatranjī chāleñ anqā haiñ
koī shikārī bhī is samt nahīñ aatā
hare-bhare jañgal kī mushfiq bāñhoñ meñ
raat ga.e jaane kyā barsā hai dil par
alag-thalag bargad kī sūkhī Tahnī par
hariyal pañkh bichhā.e gum-sum baiThā hai
ham-chashmon ke ghol magan hain shaKHon par
KHush-raftar hawaen pankhe jhalti hain
gular ke kachche phal bhi har jaanib hain
miThe pani wali jhil hai pahlu mein
mausam ki shatranji chaalen anqa hain
koi shikari bhi is samt nahin aata
hare-bhare jangal ki mushfiq banhon mein
raat gae jaane kya barsa hai dil par
alag-thalag bargad ki sukhi Tahni par
hariyal pankh bichhae gum-sum baiTha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.