suraj garhan
ho rahā hai ye nizām-e-dahr meñ kyā inqalāb
aaj mashriq hī meñ Duubā jā rahā hai āftāb
chhā ga.ī afsurdagī aisī dar-o-dīvār par
yūrish-e-zulmat ho jaise matla-e-anvār par
raushnī kam ho chalī nazzāre ghabrāne lage
aaj din meñ ḳhalq ko taare nazar aane lage
Duubā jaatā hai nazar ke sāmne gurdoñ kā dil
aarzū meñ be-sar-o-pā haiñ nigāheñ muzmahil
ghultā jaatā hai sahar ke vaqt qurs-e-āftāb
be-sabātī kā muamma ho rahā hai be-naqāb
ab nizām-e-charḳh kaj-raftār barham ho gayā
yak-ba-yak duniyā kā kārobār maddham ho gayā
imtihāñ kā vaqt hai sūraj gahan meñ aa gayā
donoñ aalam kī fazāoñ par dhuñdalkā chhā gayā
dast-e-fitrat nai-navāz-e-naġhma-e-ḳhāmosh hai
hairatoñ kā naqsh lauh-e-dil se ham-āġhosh hai
zindagī meñ ek aisā daur aatā hai zarūr
bār-e-ġham se jab sukūñ kā TuuT jaatā hai ġhurūr
mushkileñ zevar haiñ husn-e-zindagānī ke liye
ranj-o-ġham ġhāza haiñ rū-e-shādmānī ke liye
vaqt kī garmī galā detī hai lohā aas kā
aarzū ke ḳhuun se rangīñ hai paikar yaas kā
sāz-e-itmīnān se aatī hai mātam kī sadā
ek ruḳh par rah nahīñ saktī zamāne kī havā
vaqt kī talvār kā har zaḳhm khānā chāhiye
mard ko dushvāriyoñ meñ muskurānā chāhiye
ho raha hai ye nizam-e-dahr mein kya inqalab
aaj mashriq hi mein Duba ja raha hai aaftab
chha gai afsurdagi aisi dar-o-diwar par
yurish-e-zulmat ho jaise matla-e-anwar par
raushni kam ho chali nazzare ghabrane lage
aaj din mein KHalq ko tare nazar aane lage
Duba jata hai nazar ke samne gurdon ka dil
aarzu mein be-sar-o-pa hain nigahen muzmahil
ghulta jata hai sahar ke waqt qurs-e-aftab
be-sabaati ka muamma ho raha hai be-naqab
ab nizam-e-charKH kaj-raftar barham ho gaya
yak-ba-yak duniya ka karobar maddham ho gaya
imtihan ka waqt hai suraj gahan mein aa gaya
donon aalam ki fazaon par dhundalka chha gaya
dast-e-fitrat nai-nawaz-e-naghma-e-KHamosh hai
hairaton ka naqsh lauh-e-dil se ham-aghosh hai
zindagi mein ek aisa daur aata hai zarur
bar-e-gham se jab sukun ka TuT jata hai ghurur
mushkilen zewar hain husn-e-zindagani ke liye
ranj-o-gham ghaza hain ru-e-shadmani ke liye
waqt ki garmi gala deti hai loha aas ka
aarzu ke KHun se rangin hai paikar yas ka
saz-e-itminan se aati hai matam ki sada
ek ruKH par rah nahin sakti zamane ki hawa
waqt ki talwar ka har zaKHm khana chahiye
mard ko dushwariyon mein muskurana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.