suraj ka shahr
Interesting Fact
Gariib-e-shahr ki Diary se
''nahīñ ye sūraj ke shahr kā aadmī nahīñ hai
ki ye to marne ke ba.ad fōtpath par paḌā hai
ye laash ham sab kī tarah sūraj ke saath gardish meñ kyuuñ nahīñ hai?
paḌho to is Diary meñ kyā hai?''
nuche-khuche ik varaq pe kuchh yuuñ likhā huā thā
''maiñ apnī duniya-e-fikr-o-fan taj ke aaj ban-bās meñ paḌā huuñ
zarūratoñ meñ ghirā huā huuñ
yahāñ to do aur do kā hāsil hamesha hī chaar haath aayā
ki pāñch nā-mumkināt meñ hai
aziim fankār kā qalam ho ki kār-ḳhāne
kisī ko taḳhlīq-e-husn kī aarzū nahīñ hai
muqaddas aag un ke dil kī yuuñ peT ke jahannam meñ jal rahī hai
ki zindagī kī jo quvvateñ haiñ vo ḳhud ko zinda hī rakhne meñ sarf ho rahī haiñ
machine kī tarah zehn bhī kaam kar rahe haiñ
ragoñ meñ jiite lahū ke badle raqīq lohā bharā huā hai
machine kī tarah paañv chalte haiñ
aadmī kā jalāl gardish meñ sar-nigūñ hai
irāda va iḳhtiyār ik iztirāb-e-sañgīñ hai jis se bach kar
koī nahīñ do ghaḌī kisī se jo be-ġharaz ruk ke baat kar le
(kise ḳhabar, aadmī ke do mīThe bol ko maiñ taras gayā hūñ)''
yahāñ ye tahrīr āñsuoñ se miTī huī thī aur is se aage
''ye shahr sūraj kā shahr hai is ke roz-o-shab kā pata nahīñ hai
na aaj tak vaqt aur tārīḳh kā mujhe ilm ho sakā hai
ki mere ehsās meñ koī aaj hai na kal
aur ye raat hai yā siyāh sūraj?
ġhurūb ho kar bhī āsmān o zamīñ se paiham guzar rahā hai
bas is jahāñ meñ siyāh o raushan hamesha din hai
hamesha sūraj hī apne sar par khaḌā huā hai
ye kā.enāt ik shikasta gaaḌī hai ek pahiye pe chal rahī hai
zamīn kā chāñd kyā ḳhabar kis añdhere pātāl meñ girā ho
har ek shai bhāgtī huī ek dūsre kī talāsh meñ gum
bas ek tasādum
har ek shaḳhs ek dauḌtī laash hai ki ik dūsre se vahshat-zada, gurezāñ
sab apnā sūraj se muñh chhupā.e talāsh meñ vaqt kī hirāsāñ
kisī ko itnī bhī shaam miltī nahīñ ki thoḌā udaas ho leñ''
yahāñ pe jumle ajiib se the lahū ke dhabboñ se miT ga.e the
nahin ye suraj ke shahr ka aadmi nahin hai
ki ye to marne ke baad footpath par paDa hai
ye lash hum sab ki tarah suraj ke sath gardish mein kyun nahin hai?
paDho to is Diary mein kya hai?
nuche-khuche ek waraq pe kuchh yun likha hua tha
main apni duniya-e-fikr-o-fan taj ke aaj ban-bas mein paDa hun
zaruraton mein ghira hua hun
yahan to do aur do ka hasil hamesha hi chaar hath aaya
ki panch na-mumkinat mein hai
azim fankar ka qalam ho ki kar-KHane
kisi ko taKHliq-e-husn ki aarzu nahin hai
muqaddas aag un ke dil ki yun peT ke jahannam mein jal rahi hai
ki zindagi ki jo quwwaten hain wo KHud ko zinda hi rakhne mein sarf ho rahi hain
machine ki tarah zehn bhi kaam kar rahe hain
ragon mein jite lahu ke badle raqiq loha bhara hua hai
machine ki tarah panw chalte hain
aadmi ka jalal gardish mein sar-nigun hai
irada wa iKHtiyar ek iztirab-e-sangin hai jis se bach kar
koi nahin do ghaDi kisi se jo be-gharaz ruk ke baat kar le
(kise KHabar, aadmi ke do miThe bol ko main taras gaya hun)
yahan ye tahrir aansuon se miTi hui thi aur is se aage
ye shahr suraj ka shahr hai is ke roz-o-shab ka pata nahin hai
na aaj tak waqt aur tariKH ka mujhe ilm ho saka hai
ki mere ehsas mein koi aaj hai na kal
aur ye raat hai ya siyah suraj?
ghurub ho kar bhi aasman o zamin se paiham guzar raha hai
bas is jahan mein siyah o raushan hamesha din hai
hamesha suraj hi apne sar par khaDa hua hai
ye kaenat ek shikasta gaDi hai ek pahiye pe chal rahi hai
zamin ka chand kya KHabar kis andhere patal mein gira ho
har ek shai bhagti hui ek dusre ki talash mein gum
bas ek tasadum
har ek shaKHs ek dauDti lash hai ki ek dusre se wahshat-zada, gurezan
sab apna suraj se munh chhupae talash mein waqt ki hirasan
kisi ko itni bhi sham milti nahin ki thoDa udas ho len
yahan pe jumle ajib se the lahu ke dhabbon se miT gae the
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 192)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.