suraj ke jalte wihaar mein
sūraj ke jalte vihār meñ
bas ga.ī
basantī rañg bharī badrī
ki badrī baras ga.ī
ik rut kī
jaltī bahār meñ
kaayā kī sarsoñ jhulas ga.ī
aur jhuum jhuum ke naach rahī dhartī
ki badrī baras ga.ī
yahī naach amar yahī khel amar
kyā ga.e dinoñ kā pachhtāvā
kyā na.ī rutoñ kā bahlāvā
nainoñ kī jot jagā.e rakho
kis roz bahār basant nahīñ
is pāgal rut kā ant nahīñ
koī ant nahīñ
suraj ke jalte wihaar mein
bas gai
basanti rang bhari badri
ki badri baras gai
ek rut ki
jalti bahaar mein
kaya ki sarson jhulas gai
aur jhum jhum ke nach rahi dharti
ki badri baras gai
yahi nach amar yahi khel amar
kya gae dinon ka pachhtawa
kya nai ruton ka bahlawa
nainon ki jot jagae rakho
kis roz bahaar basant nahin
is pagal rut ka ant nahin
koi ant nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.