suraj ki kirnon ka git
Interesting Fact
(A literal translation of an English poem)
sunahrī sūraj ne āsmāñ par
kahā ki kyā bhejūñ maiñ zamīñ ko
ye raag thā kirnoñ kī zabāñ par
zamīñ pe jaane do tum hamīñ ko
taras gayā dhuup ko zamāna
haiñ kab se chhā.ī huī ghaTā.eñ
jo aaj kar do hameñ ravāna
zamīn par nuur jā bichhā.eñ
ghaTā ke pardoñ ko chaak kar deñ
zamīn par raushnī luTā.eñ
chaman ko kīchaḌ se paak kar deñ
daraḳhtoñ se kheleñ aur khilā.eñ
ye giit gaatī huī jahāñ meñ
chhamā-chham aa.eñ sunahrī kirneñ
har ek ghar meñ har ik makāñ meñ
machal ke chhā.eñ sunahrī kirneñ
jo bachche is vaqt so rahe haiñ
ye un ke bistar pe jhūmtī haiñ
vo chup haiñ behosh ho rahe haiñ
ye un kī āñkhoñ ko chūmtī haiñ
ye un ke gāloñ pe girtī haiñ
to gaal ho jaate haiñ sunahrī
ye un ke bāloñ pe girtī haiñ jab
to baal ho jaate haiñ sunahrī
rasīlī lai meñ sunā rahī haiñ
ki uTho jaag uTho pyāre bachcho
havā.eñ bhī giit gā rahī haiñ
ki aao ab khelo pyāre bachcho
bas uTh khaḌe ho hamārī ḳhātir
ye socho aa.e haiñ ham kahāñ se
aur is pe dekho tumhārī ḳhātir
ye tohfa laa.e haiñ āsmāñ se
ye tohfa tum jānte ho kyā hai
sunahrī sūraj kī raushnī hai
vo dekho sūraj chamak rahā hai
shafaq kī vaadī lahak rahī hai
sunahri suraj ne aasman par
kaha ki kya bhejun main zamin ko
ye rag tha kirnon ki zaban par
zamin pe jaane do tum hamin ko
taras gaya dhup ko zamana
hain kab se chhai hui ghaTaen
jo aaj kar do hamein rawana
zamin par nur ja bichhaen
ghaTa ke pardon ko chaak kar den
zamin par raushni luTaen
chaman ko kichaD se pak kar den
daraKHton se khelen aur khilaen
ye git gati hui jahan mein
chhama-chham aaen sunahri kirnen
har ek ghar mein har ek makan mein
machal ke chhaen sunahri kirnen
jo bachche is waqt so rahe hain
ye un ke bistar pe jhumti hain
wo chup hain behosh ho rahe hain
ye un ki aankhon ko chumti hain
ye un ke galon pe girti hain
to gal ho jate hain sunahri
ye un ke baalon pe girti hain jab
to baal ho jate hain sunahri
rasili lai mein suna rahi hain
ki uTho jag uTho pyare bachcho
hawaen bhi git ga rahi hain
ki aao ab khelo pyare bachcho
bas uTh khaDe ho hamari KHatir
ye socho aae hain hum kahan se
aur is pe dekho tumhaari KHatir
ye tohfa lae hain aasman se
ye tohfa tum jaante ho kya hai
sunahri suraj ki raushni hai
wo dekho suraj chamak raha hai
shafaq ki wadi lahak rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.