suraj
mirā kaam hai pyāre bachchoñ nirālā
mire dam se hotā hai har sū ujālā
sahar meñ jo masjid se aate ho tum ghar
numūdār hotā huuñ tab maiñ ufuq par
safar merā mashriq se maġhrib talak hai
sadā se guzargāh merī falak hai
nazar raat meñ tum ko aatā nahīñ huuñ
magar phir bhī duniyā se jaatā nahīñ huuñ
mire dam se hī chāñd meñ raushnī hai
mire dam se hī chāñd meñ dilkashī hai
tumhāre liye niiñd bhī lāzmī hai
zarūrat magar niiñd ko raat kī hai
yūñhī shab meñ duur hotā huuñ tum se
yūñhī shab meñ mastūr hotā huuñ tum se
hai insāñ ko hājat mirī raat ko bhī
zarūrat hai merī nabātāt ko bhī
ba-hukm-e-ḳhudā mujh se hī raushnī hai
añdhere se 'sāhil' mirī dushmanī hai
mera kaam hai pyare bachchon nirala
mere dam se hota hai har su ujala
sahar mein jo masjid se aate ho tum ghar
numudar hota hun tab main ufuq par
safar mera mashriq se maghrib talak hai
sada se guzargah meri falak hai
nazar raat mein tum ko aata nahin hun
magar phir bhi duniya se jata nahin hun
mere dam se hi chand mein raushni hai
mere dam se hi chand mein dilkashi hai
tumhaare liye nind bhi lazmi hai
zarurat magar nind ko raat ki hai
yunhi shab mein dur hota hun tum se
yunhi shab mein mastur hota hun tum se
hai insan ko hajat meri raat ko bhi
zarurat hai meri nabaatat ko bhi
ba-hukm-e-KHuda mujh se hi raushni hai
andhere se 'sahil' meri dushmani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.