suraj
sūraj ke dam se bachcho duniyā meñ hai ujālā
sūraj na ho to chehra duniyā kā hogā kaalā
sūraj meñ mādde kī hālat plasma hai
pūchho ye aaj ham se kaisī hai aur kyā hai
haañ gas se ziyāda halkī plasma hai
bachcho ye tez garmī kī ḳhud hī rahnumā hai
sūraj kī raushnī se bantā hai bhaap paanī
letī hai janm bachcho bādal kī phir kahānī
ik surḳh sho.ala ban kar sūraj dahak rahā hai
sūraj kī raushnī se chandā chamak rahā hai
solar heateroñ ko sūraj ne dī harārat
sūraj kī peḌ paudoñ pe hotī hai ināyat
'hāfiz' ye shaam ko jo chehra hai ḳhud hī faq hai
sūraj ke Dūbne se ākāsh par shafaq hai
suraj ke dam se bachcho duniya mein hai ujala
suraj na ho to chehra duniya ka hoga kala
suraj mein madde ki haalat plasma hai
puchho ye aaj hum se kaisi hai aur kya hai
han gas se ziyaada halki plasma hai
bachcho ye tez garmi ki KHud hi rahnuma hai
suraj ki raushni se banta hai bhap pani
leti hai janm bachcho baadal ki phir kahani
ek surKH shoala ban kar suraj dahak raha hai
suraj ki raushni se chanda chamak raha hai
solar heateron ko suraj ne di hararat
suraj ki peD paudon pe hoti hai inayat
'hafiz' ye sham ko jo chehra hai KHud hi faq hai
suraj ke Dubne se aakash par shafaq hai
- Book : Zamzame (Pg. 84)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
- Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.