talluq-o-taaruf
baat jab ḳhāmushī meñ hotī hai
baat is marhale par aa pahuñchī
parda-dārī ke uTh ga.e parde
un ke ruḳh tak nigāh jā pahuñchī
fāsla bhī hai kuchh rifāqat bhī
ye ta'alluq baḌā nirālā hai
guftugū dil kī dil se hai paiham
parda-e-rāz uThne vaalā hai
kuchh savāl-o-javāb hoñ ki na hoñ
dil kī baat un se ab kaheñ na kaheñ
ek sahar-āfrīñ tasavvur hai
aamne sāmne raheñ na raheñ
ye bhī hai ik milāp kā pahlū
ḳhāmushī baat hī kī sūrat hai
rāh-o-rasm un se āñkhoñ āñkhoñ meñ
ik mulāqāt hī kī sūrat hai
sad ham-āġhoshī-o-ham-āhangī
ye mulāqāt go ḳhayālī hai
is ta'alluq pe kyoñ nisār na hoñ
ye ta.āruf baḌā jamālī hai
baat jab KHamushi mein hoti hai
baat is marhale par aa pahunchi
parda-dari ke uTh gae parde
un ke ruKH tak nigah ja pahunchi
fasla bhi hai kuchh rifaqat bhi
ye ta'alluq baDa nirala hai
guftugu dil ki dil se hai paiham
parda-e-raaz uThne wala hai
kuchh sawal-o-jawab hon ki na hon
dil ki baat un se ab kahen na kahen
ek sahar-afrin tasawwur hai
aamne samne rahen na rahen
ye bhi hai ek milap ka pahlu
KHamushi baat hi ki surat hai
rah-o-rasm un se aankhon aankhon mein
ek mulaqat hi ki surat hai
sad ham-aghoshi-o-ham-ahangi
ye mulaqat go KHayali hai
is ta'alluq pe kyon nisar na hon
ye taaruf baDa jamali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.