taaqub apne ham-zad ka
chhoḌ aayā huuñ maiñ apnā chhoTā sā ghar
ta.āqub kartā hai vo ab merā umr bhar
jañgal kināre parbatoñ ke tale
harī-bharī vādiyoñ meñ
jahāñ bahte the barsātī parnāle
chhoḌ aayā huuñ maiñ apnā chhoTā sā ghar
had-e-nigāh tak vo ḳhushnumā manzar
bādaloñ kī oT se pahāḌī nazāre
bijlī kī chamak bādal kī garaj
kabhī chhat Tapaktī thī to kabhī hiltī thiiñ dīvāreñ
kitāb copiyoñ ko siine meñ chhupānā
sard havā ke jhoñkoñ se charāġh kā TimTimānā
vo terā ma.asūm chehra
vo terā bhīgī palkoñ se muskurānā
vo āzmā.ish kī kaalī rāteñ vo imtihānoñ kā Dar
chhoḌ aayā huuñ maiñ apnā chhoTā sā ghar
hāfize meñ dafn hai jis kā ab bhī vo manzar
maTmailī sī thiiñ jis kī dīvāreñ
surḳh thā jis kā chhappar
jañgle kī kamzor salāḳhoñ se
āñkhoñ meñ aañsū liye
ek laḌkā dekhā kartā thā
qaumī shāh-rāh kā manzar
jahāñ se dīvāna-vār basoñ aur trakoñ kā kārvāñ
bhāgtā dauḌtā rahtā thā baḌe shahroñ kī samt
haañ baḌe shahroñ kī samt
jin kī ḳhud lāpata thiiñ samteñ!!
aaj chālīs saal ba.ad vo laḌkā sochtā hai
baḌā shahr sarāb hai sunahrī hiran kā ḳhvāb hai
baḌe shahr kī chaah meñ dauḌte dauḌte
vo be-samt be-manzar be-ghar ho gayā hai
lekin phir kabhī kabhī use ehsās hotā hai
us kī bhī apnī asaas hai
us kā suhāna manzar is ke paas hai
us kā bhī apnā ghar hai
vo chhoTā sā ghar vo maTmailī dīvāreñ
vo surḳh chhappar
jahāñ āshnā nigāheñ
jahāñ mohabbat-āmez bāheñ
aaj bhī us kā intizār kar rahī haiñ
is shahr ko chhoḌ kar ik din vo chalā jā.egā
vahāñ se phir kabhī kahīñ bhī nahīñ jā.egā
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
taaqub karta hai wo ab mera umr bhar
jangal kinare parbaton ke tale
hari-bhari wadiyon mein
jahan bahte the barsati parnale
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
had-e-nigah tak wo KHushnuma manzar
baadalon ki oT se pahaDi nazare
bijli ki chamak baadal ki garaj
kabhi chhat Tapakti thi to kabhi hilti thin diwaren
kitab copiyon ko sine mein chhupana
sard hawa ke jhonkon se charagh ka TimTimana
wo tera masum chehra
wo tera bhigi palkon se muskurana
wo aazmaish ki kali raaten wo imtihanon ka Dar
chhoD aaya hun main apna chhoTa sa ghar
hafize mein dafn hai jis ka ab bhi wo manzar
maTmaili si thin jis ki diwaren
surKH tha jis ka chhappar
jangle ki kamzor salaKHon se
aankhon mein aansu liye
ek laDka dekha karta tha
qaumi shah-rah ka manzar
jahan se diwana-war bason aur trakon ka karwan
bhagta dauDta rahta tha baDe shahron ki samt
han baDe shahron ki samt
jin ki KHud lapata thin samten!!
aaj chaalis sal baad wo laDka sochta hai
baDa shahr sarab hai sunahri hiran ka KHwab hai
baDe shahr ki chah mein dauDte dauDte
wo be-samt be-manzar be-ghar ho gaya hai
lekin phir kabhi kabhi use ehsas hota hai
us ki bhi apni asas hai
us ka suhana manzar is ke pas hai
us ka bhi apna ghar hai
wo chhoTa sa ghar wo maTmaili diwaren
wo surKH chhappar
jahan aashna nigahen
jahan mohabbat-amez bahen
aaj bhi us ka intizar kar rahi hain
is shahr ko chhoD kar ek din wo chala jaega
wahan se phir kabhi kahin bhi nahin jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.