taaqub
kaisī tārīk fazā kaisā bhayānak manzar
har taraf chhāyā huā shahr-e-ḳhamoshāñ kā sukūt
aur tā-hadd-e-nazar raat ke sāñpoñ ke ubharte hue sar
har taraf raqs meñ guzre hue lamhāt kī nāzuk pariyāñ
azhdahā vaqt kā muñh khole hue
haal ke zahr se maazī ke parī-ḳhāne ko āġhosh-e-fanā meñ dete
har taraf chashm-e-sharar-bār se taḳhayyul kī tajsīm ko jhulsātā huā
apnī phunkār se barsoñ ke daraḳhtoñ ko nigūñ kartā huā
har taraf ek fusūñ kartā huā
jaane kis samt se aayā hai kidhar jā.egā
aur gum-gashta-e-manzil kī
ek anjān bhaTaktī huī ruuh
is añdhere meñ ḳhamoshī meñ sarāsīma-ḳhirām
muztarib dast-ba-dil ḳhāk-basar
jaane kis samt chalī jaatī hai
kaun hai
kaun bhaTaktī huī ruuh
kis taraf garm-e-safar nālā-kunāñ sho.ala-ba-jāñ
kis taraf kis ke ta.āqub meñ chalī jaatī hai
kaisi tarik faza kaisa bhayanak manzar
har taraf chhaya hua shahr-e-KHamoshan ka sukut
aur ta-hadd-e-nazar raat ke sanpon ke ubharte hue sar
har taraf raqs mein guzre hue lamhat ki nazuk pariyan
azhdaha waqt ka munh khole hue
haal ke zahr se mazi ke pari-KHane ko aaghosh-e-fana mein dete
har taraf chashm-e-sharar-bar se taKHayyul ki tajsim ko jhulsata hua
apni phunkar se barson ke daraKHton ko nigun karta hua
har taraf ek fusun karta hua
jaane kis samt se aaya hai kidhar jaega
aur gum-gashta-e-manzil ki
ek anjaan bhaTakti hui ruh
is andhere mein KHamoshi mein sarasima-KHiram
muztarib dast-ba-dil KHak-basar
jaane kis samt chali jati hai
kaun hai
kaun bhaTakti hui ruh
kis taraf garm-e-safar nala-kunan shoala-ba-jaan
kis taraf kis ke taaqub mein chali jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.