taaqub
mujh se pahle ke din
ab bahut yaad aane lage haiñ tumheñ
ḳhvāb-o-ta.abīr ke gum-shuda silsile
baar baar ab satāne lage haiñ tumheñ
dukh jo pahuñche the tum se kisī ko kabhī
der tak ab jagāne lage haiñ tumheñ
ab bahut yaad aane lage haiñ tumheñ
apne vo ahd-o-paimāñ jo mujh se na the
kyā tumheñ mujh se ab kuchh bhī kahnā nahīñ
mujh se pahle ke din
ab bahut yaad aane lage hain tumhein
KHwab-o-tabir ke gum-shuda silsile
bar bar ab satane lage hain tumhein
dukh jo pahunche the tum se kisi ko kabhi
der tak ab jagane lage hain tumhein
ab bahut yaad aane lage hain tumhein
apne wo ahd-o-paiman jo mujh se na the
kya tumhein mujh se ab kuchh bhi kahna nahin
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 423)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.