taaruf
ḳhuub pahchān lo asrār huuñ maiñ
jins-e-ulfat kā talabgār huuñ maiñ
ishq hī ishq hai duniyā merī
fitna-e-aql se be-zār huuñ maiñ
ḳhvāb-e-ishrat meñ haiñ arbāb-e-ḳhirad
aur ik shā.ir-e-bedār huuñ maiñ
chheḌtī hai jise mizrāb-e-alam
sāz-e-fitrat kā vahī taar huuñ maiñ
rañg nazzāra-e-qudrat mujh se
jān-e-rañgīni-e-kohsār huuñ maiñ
nashsha-e-nargis-e-ḳhūbāñ mujh se
ġhāza-e-āriz-o-ruḳhsār huuñ maiñ
aib jo hāfiz o ḳhayyām maiñ thā
haañ kuchh is kā bhī gunahgār huuñ maiñ
zindagī kyā hai gunāh-e-ādam
zindagī hai to gunahgār huuñ maiñ
rashk-e-sad-hosh hai mastī merī
aisī mastī hai ki hushyār huuñ maiñ
le ke niklā huuñ guhar-hā-e-suḳhan
maah o anjum kā ḳharīdār huuñ maiñ
dair o ka.aba meñ mire hī charche
aur rusvā sar-e-bāzār huuñ maiñ
kufr o ilhād se nafrat hai mujhe
aur maz.hab se bhī be-zār huuñ maiñ
ahl-e-duniyā ke liye nañg sahī
raunaq-e-anjuman-e-yār huuñ maiñ
ain is be-sar-o-sāmānī meñ
kyā ye kam hai ki guhar-bār huuñ maiñ
merī bātoñ meñ masīhā.ī hai
log kahte haiñ ki bīmār huuñ maiñ
mujh se barham hai mizāj-e-pīrī
mujrim-e-shoḳhi-e-guftār huuñ maiñ
huur o ġhilmāñ kā yahāñ zikr nahīñ
nau-e-insāñ kā parastār huuñ maiñ
mahfil-e-dahr pe taarī hai jumūd
aur vārafta-e-raftār huuñ maiñ
ik lapaktā huā sho.ala huuñ maiñ
ek chaltī huī talvār huuñ maiñ
KHub pahchan lo asrar hun main
jins-e-ulfat ka talabgar hun main
ishq hi ishq hai duniya meri
fitna-e-aql se be-zar hun main
KHwab-e-ishrat mein hain arbab-e-KHirad
aur ek shair-e-bedar hun main
chheDti hai jise mizrab-e-alam
saz-e-fitrat ka wahi tar hun main
rang nazzara-e-qudrat mujh se
jaan-e-rangini-e-kohsar hun main
nashsha-e-nargis-e-KHuban mujh se
ghaza-e-ariz-o-ruKHsar hun main
aib jo hafiz o KHayyam main tha
han kuchh is ka bhi gunahgar hun main
zindagi kya hai gunah-e-adam
zindagi hai to gunahgar hun main
rashk-e-sad-hosh hai masti meri
aisi masti hai ki hushyar hun main
le ke nikla hun guhar-ha-e-suKHan
mah o anjum ka KHaridar hun main
dair o kaba mein mere hi charche
aur ruswa sar-e-bazar hun main
kufr o ilhad se nafrat hai mujhe
aur mazhab se bhi be-zar hun main
ahl-e-duniya ke liye nang sahi
raunaq-e-anjuman-e-yar hun main
ain is be-sar-o-samani mein
kya ye kam hai ki guhar-bar hun main
meri baaton mein masihai hai
log kahte hain ki bimar hun main
mujh se barham hai mizaj-e-piri
mujrim-e-shoKHi-e-guftar hun main
hur o ghilman ka yahan zikr nahin
nau-e-insan ka parastar hun main
mahfil-e-dahr pe tari hai jumud
aur warafta-e-raftar hun main
ek lapakta hua shoala hun main
ek chalti hui talwar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.