taaruf
ajal, in se mil,
ki ye sāda-dil
na ahl-e-salāt aur na ahl-e-sharāb,
na ahl-e-adab aur na ahl-e-hisāb,
nā ahl-e-kitāb
na ahl-e-kitāb aur na ahl-e-mashīn
na ahle-ḳhalā aur na ahl-e-zamīn
faqat be-yaqīn
ajal, in se mat kar hijāb
ajal, in se mil!
baḌho, tum bhī aage baḌho
ajal se milo,
baḌho, nau-tavañgar gadāo
na kashkol-e-daryūza-gardī chhupāo
tumheñ zindagī se koī rabt baaqī nahīñ
ajal se hañso aur ajal ko hañsāo
baḌho bandagān-e-zamāna baḌho bandagān-e-diram
ajal ye sab insān manafī haiñ
manafī ziyāda haiñ insān kam
ho in par nigāh-e-karam
ajal, in se mil,
ki ye sada-dil
na ahl-e-salat aur na ahl-e-sharab,
na ahl-e-adab aur na ahl-e-hisab,
na ahl-e-kitab
na ahl-e-kitab aur na ahl-e-mashin
na ahle-KHala aur na ahl-e-zamin
faqat be-yaqin
ajal, in se mat kar hijab
ajal, in se mil!
baDho, tum bhi aage baDho
ajal se milo,
baDho, nau-tawangar gadao
na kashkol-e-daryuza-gardi chhupao
tumhein zindagi se koi rabt baqi nahin
ajal se hanso aur ajal ko hansao
baDho bandagan-e-zamana baDho bandagan-e-diram
ajal ye sab insan manafi hain
manafi ziyaada hain insan kam
ho in par nigah-e-karam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.