taaruf
vo zindagī kā ajīb-o-ġharīb mausam thā
bahāreñ TuuT paḌī thiiñ suhāne jismoñ par
nafas nafas meñ fusūñ thā nazar nazar meñ junūñ
tasavvur-e-mai-isyāñ se chuur chuur badan
nujūm-e-fikr-o-nazar TimTimā ke Duub ga.e
ḳhumār zehnoñ pe chhāyā to jism jaag uThe
añdherā gahrā huā kā.enāt bahrī huī
ubhar ke sāyoñ ne ik dūsre ko pahchānā
wo zindagi ka ajib-o-gharib mausam tha
bahaaren TuT paDi thin suhane jismon par
nafas nafas mein fusun tha nazar nazar mein junun
tasawwur-e-mai-isyan se chur chur badan
nujum-e-fikr-o-nazar TimTima ke Dub gae
KHumar zehnon pe chhaya to jism jag uThe
andhera gahra hua kaenat bahri hui
ubhar ke sayon ne ek dusre ko pahchana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.