taba kai
lafz aur hoñT ke mābain kahīñ
saañs ulajh jaatī hai
tere āñgan ke kisī gosha-e-nādīda meñ
manhanī hāthoñ se dīvār pakaḌtī huī
ummīd kī bel
apne hī ġham se dahaktī rahī dam dam paiham
apne hī nam se mahaktī rahī mausam mausam
lafz ubharte rahe ruk ruk ke sar-e-shāḳh-e-niyāz
bel ke phuul kabhī rañg kabhī ḳhushbū se
aan kī aan tire lams meñ jiinā chāheñ
majas-e-zāt kī tanhā.ī meñ
aur zamistān-e-ḳhamoshī kī girāñbārī meñ
yahī armān rahā
tū unheñ chāhe na chāhe lekin
kabhī pal bhar ko pazīrā.ī kā iz.hār kare
lamha bhar lazzat-e-shunvā.ī se sarshār kare
aaj is dard kī barsāt ke din
bel se ek mahak uTThī hai tūfāñ kī tarah
phuul vā hoñToñ ke mānind haiñ har barg hai ik dīda-e-giryāñ kī tarah
aur havā kaañp rahī hai kisī hamrāz pareshāñ kī tarah
kyā ye betāb dhaḌakte hue lafz
aaj bhī terī mizha par na munavvar hoñge
lafz aur honT ke mabain kahin
sans ulajh jati hai
tere aangan ke kisi gosha-e-nadida mein
manhani hathon se diwar pakaDti hui
ummid ki bel
apne hi gham se dahakti rahi dam dam paiham
apne hi nam se mahakti rahi mausam mausam
lafz ubharte rahe ruk ruk ke sar-e-shaKH-e-niyaz
bel ke phul kabhi rang kabhi KHushbu se
aan ki aan tere lams mein jina chahen
majas-e-zat ki tanhai mein
aur zamistan-e-KHamoshi ki giranbari mein
yahi arman raha
tu unhen chahe na chahe lekin
kabhi pal bhar ko pazirai ka izhaar kare
lamha bhar lazzat-e-shunwai se sarshaar kare
aaj is dard ki barsat ke din
bel se ek mahak uTThi hai tufan ki tarah
phul wa honTon ke manind hain har barg hai ek dida-e-giryan ki tarah
aur hawa kanp rahi hai kisi hamraaz pareshan ki tarah
kya ye betab dhaDakte hue lafz
aaj bhi teri mizha par na munawwar honge
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 341)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.