tabir
sub.h-dam aaj
mirī niiñd bharī aañkh
ga.ī shab ke hasīñ ḳhvāb kī
halkī sī jhalak le ke uThī
duur vaadī meñ kahīñ
nāchte gaate bachche
phuul chehroñ pe sajī
kheltī hañstī āñkheñ
khilkhilātī huī shāmoñ meñ
javānī kī mahak
raqs kartī huī
rātoñ meñ
hinā ke sad-rañg
lahlahāte hue khetoñ meñ
na.ī fasl kī bhīnī ḳhushbū
zindagī rañg-e-shafaq
rañg-e-sadā
subh-dam aaj
meri nind bhari aankh
gai shab ke hasin KHwab ki
halki si jhalak le ke uThi
dur wadi mein kahin
nachte gate bachche
phul chehron pe saji
khelti hansti aankhen
khilkhilati hui shamon mein
jawani ki mahak
raqs karti hui
raaton mein
hina ke sad-rang
lahlahate hue kheton mein
nai fasl ki bhini KHushbu
zindagi rang-e-shafaq
rang-e-sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.