taga taga mujhe kaun khole
sar-basar ik ulajhtī pahelī huuñ
aur merī uljhan kī
suljhan bhī dushvār hai
taagā taagā mujhe kaun khole
mujhe rang-dar-rang
aur harf-dar-harf parkhe
kahīñ aisī chashm-e-fusūñ-kār hai to batāo
ai mirī be-dilī ke shikasta kināro
mire ḳhvāb-e-hastī ke
mauhūm resham ko
kis dhuup kī
zard dīmak ne chāTā
kaun sī ḳhvāhishoñ kī
harī Tahniyoñ par
barahna havāoñ ke panje paḌe
kis talab kī kathā
un ke rāstoñ meñ kahīñ rāh-e-gum-karda rahrav kī sūrat
ḳhajil aur kam-raḳht rahne lagī
maiñ udāsī kī gahrī sahelī huuñ
tīkhī pahelī huuñ
aur merī uljhan kī suljhan bhī dushvār hai
maiñ yugoñ se kisī dard kī ḳhush-hunar uñgliyoñ kī
tunuk-tāb poroñ se
apnā patā pūchhtī huuñ
bahut kār-e-uqda-kushā.ī kaThin hai
magar maiñ kisī ranj-e-barsar
ḳhayāl-e-junūñ-pesha kī
aarzū kar rahī huuñ
ye gunjal sulajh jaa.e
is dhun meñ
dil ke nasheboñ ko
kyā kyā lahū kar rahī huuñ
sar-basar ek ulajhti paheli hun
aur meri uljhan ki
suljhan bhi dushwar hai
taga taga mujhe kaun khole
mujhe rang-dar-rang
aur harf-dar-harf parkhe
kahin aisi chashm-e-fusun-kar hai to batao
ai meri be-dili ke shikasta kinaro
mere KHwab-e-hasti ke
mauhum resham ko
kis dhup ki
zard dimak ne chaTa
kaun si KHwahishon ki
hari Tahniyon par
barahna hawaon ke panje paDe
kis talab ki katha
un ke raston mein kahin rah-e-gum-karda rahraw ki surat
KHajil aur kam-raKHt rahne lagi
main udasi ki gahri saheli hun
tikhi paheli hun
aur meri uljhan ki suljhan bhi dushwar hai
main yugon se kisi dard ki KHush-hunar ungliyon ki
tunuk-tab poron se
apna pata puchhti hun
bahut kar-e-uqda-kushai kaThin hai
magar main kisi ranj-e-barsar
KHayal-e-junun-pesha ki
aarzu kar rahi hun
ye gunjal sulajh jae
is dhun mein
dil ke nashebon ko
kya kya lahu kar rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.