tahir ne ek anDa toDa
tāhir ne ik anDā toḌā
anDe meñ se niklā ghoḌā
ghoḌe ne ik Taap jo maarī
niklī phūloñ kī ik kyārī
phuul the us ke pyāre pyāre
jaise hoñ rangīn sitāre
in meñ se ik phuul jo toḌā
us meñ thā sone kā kaTorā
us meñ bharā thā duudh sā paanī
mīThā paanī ThanDā paanī
bhīnī bhīnī ḳhushbū us kī
jab tāhir kī naak meñ aa.ī
us ne kaTorā muñh se lagāyā
aap piyā auroñ ko pilāyā
tahir ne ek anDa toDa
anDe mein se nikla ghoDa
ghoDe ne ek Tap jo mari
nikli phulon ki ek kyari
phul the us ke pyare pyare
jaise hon rangin sitare
in mein se ek phul jo toDa
us mein tha sone ka kaTora
us mein bhara tha dudh sa pani
miTha pani ThanDa pani
bhini bhini KHushbu us ki
jab tahir ki nak mein aai
us ne kaTora munh se lagaya
aap piya auron ko pilaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.