taliban
aurteñ ghar meñ raheñgī
laḌkiyāñ chhup jā.eñgī
phuul shāḳhoñ par khileñge
aur vahīñ murjhā.eñge
chāñd sūraj aur sitāre dhund meñ kho jā.eñge
duur tak uḌte parinde
giit gaanā bhuul kar
apne apne āshiyāñ meñ
ḳhauf se mar jā.eñge
ḳhvāb jaisī zindagī ke
ḳhvāb dekheñge magar
sub.h jab phailegī ghar meñ
radio kholeñge log
aur khiḌkī se achānak
tālibān aa jā.eñge
aurten ghar mein rahengi
laDkiyan chhup jaengi
phul shaKHon par khilenge
aur wahin murjhaenge
chand suraj aur sitare dhund mein kho jaenge
dur tak uDte parinde
git gana bhul kar
apne apne aashiyan mein
KHauf se mar jaenge
KHwab jaisi zindagi ke
KHwab dekhenge magar
subh jab phailegi ghar mein
radio kholenge log
aur khiDki se achanak
taliban aa jaenge
- Book : saarii nazmen (Pg. 559)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.