talluq ki na-jaez tajawuzat
bahut ġhaur-o-ḳhauz ke ba.ad bil-āḳhir
talāsh ḳhatm kar dī ga.ī
is makān kī chobī sīḌhiyoñ ke
nisf dā.ere par
jo hamārī samt kā āḳhirī hissa batāyā gayā hai
aur qal.ī kar dī ga.ī
un tamām dīvār-gīr andāzoñ par
jo hameñ toḌ-maroḌ kar likhte the
alag kiye hue paañv
jo kisī ajnabī rāste kā hissa nahīñ bane
chamḌe ke jūtoñ meñ saiñt kar rakh liye ga.e
vo āñkheñ darvāzoñ se utaar kar
maḳhmalīñ kesoñ meñ
hifāzat se rakh dī ga.ī haiñ
jo kisī na.e manzar ke frame meñ puurī nahīñ aa sakīñ
in par phūñkā gayā sehr
be-ābād gharoñ ko
bataur-e-zakāt de diyā gayā
ab un gharoñ se rātoñ ko hañsne kī
jinnātī āvāzeñ aatī haiñ
vo haath bañdhe rah ga.e
namāz kī ibtidā.ī raka.atoñ meñ
aur naflī ibādateñ musalloñ ke dilkash designoñ par
uñgliyāñ phertī rah ga.iiñ
aur ham jhāḌ-phūñk kar ek ḳhāndānī ta.alluq
apne badan ke thailoñ meñ
sambhāl ke rakh chuke
is liye
tum hameñ apnī yād-dāsht kī sīḌhiyoñ se
dhakkā de kar
ḳhud ko na.e sire se rasman ta.amīr karo
bahut ghaur-o-KHauz ke baad bil-aKHir
talash KHatm kar di gai
is makan ki chobi siDhiyon ke
nisf daere par
jo hamari samt ka aaKHiri hissa bataya gaya hai
aur qali kar di gai
un tamam diwar-gir andazon par
jo hamein toD-maroD kar likhte the
alag kiye hue panw
jo kisi ajnabi raste ka hissa nahin bane
chamDe ke juton mein saint kar rakh liye gae
wo aankhen darwazon se utar kar
maKHmalin keson mein
hifazat se rakh di gai hain
jo kisi nae manzar ke frame mein puri nahin aa sakin
in par phunka gaya sehr
be-abaad gharon ko
bataur-e-zakat de diya gaya
ab un gharon se raaton ko hansne ki
jinnati aawazen aati hain
wo hath bandhe rah gae
namaz ki ibtidai rakaton mein
aur nafli ibaadaten musallon ke dilkash designon par
ungliyan pherti rah gain
aur hum jhaD-phunk kar ek KHandani talluq
apne badan ke thailon mein
sambhaal ke rakh chuke
is liye
tum hamein apni yaad-dasht ki siDhiyon se
dhakka de kar
KHud ko nae sire se rasman tamir karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.