Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamir-e-nau

Sahba lakhnavi

tamir-e-nau

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    ghane añdheroñ se phūTā sapīda-e-saharī

    zamīr-e-ḳhāk meñ jaagā mazāq-e-dīda-varī

    ġhamoñ se duur masarrat shāh-rāhoñ meñ

    hayāt DhūñD rahī hai nishān-e-istiqbāl

    tahoñ meñ Duub ke ubhrī hai fikr-e-insānī

    nikal rahā hai siyāhī se āftāb-e-kamāl

    lahū ke chhīñToñ se badlī hai qismat-e-ādam

    zamāna naap rahā hai junūñ ke paimāne

    ḳhirad mai se kahīñ sair ho sakī hai talab

    surūr-e-aql ke hoñ hazār mai-ḳhāne

    ye zindagī hai bahar-hāl zindagī talab

    talab na ho to javāñ-sāl hausle na raheñ

    hayāt-o-maut nahīñ juz tasādum-e-nāgāh

    talab na ho to junūñ-kār valvale na raheñ

    fazā meñ kaif kalī par shabāb gul pe nikhār

    abhī to jashn-e-bahārāñ ko aam karnā hai

    abhī faroġh-e-mah-o-mehr zarūrat hai

    nigār-e-shab sitāroñ se maañg bhartā hai

    yaqīn-e-azm-o-amal ishtirāk-e-fikr-o-nazar

    inhīñ se dars-e-tapish le rahī hai rūh-e-bashar

    hayāt le ke chalo kā.enāt le ke chalo

    chalo to saare zamāne ko saath le ke chalo

    ghane andheron se phuTa sapida-e-sahari

    zamir-e-KHak mein jaga mazaq-e-dida-wari

    ghamon se dur masarrat ki shah-rahon mein

    hayat DhunD rahi hai nishan-e-istiqbaal

    tahon mein Dub ke ubhri hai fikr-e-insani

    nikal raha hai siyahi se aaftab-e-kamal

    lahu ke chhinTon se badli hai qismat-e-adam

    zamana nap raha hai junun ke paimane

    KHirad ki mai se kahin sair ho saki hai talab

    surur-e-aql ke wa hon hazar mai-KHane

    ye zindagi hai bahar-haal zindagi ki talab

    talab na ho to jawan-sal hausle na rahen

    hayat-o-maut nahin juz tasadum-e-nagah

    talab na ho to junun-kar walwale na rahen

    faza mein kaif kali par shabab gul pe nikhaar

    abhi to jashn-e-bahaaran ko aam karna hai

    abhi farogh-e-mah-o-mehr ki zarurat hai

    nigar-e-shab ki sitaron se mang bharta hai

    yaqin-e-azm-o-amal ishtirak-e-fikr-o-nazar

    inhin se dars-e-tapish le rahi hai ruh-e-bashar

    hayat le ke chalo kaenat le ke chalo

    chalo to sare zamane ko sath le ke chalo

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now