tane
kal shab maiñ shahr-e-ishq se lauTā jo apne ghar
darvāze ta.ane kasne lagā mere haal par
bolā darīcha kaise akele idhar janāb
kyoñ aur kahāñ pe chhūT gayā ham-safar janāb
chup jo huā darīcha to gūñjī sadā-e-bām
ab kar sakoge saa.e tale mere tum qiyām
dīvār bolī karke muḳhātab tamām ko
muhtāj ho gayā hai bechāra kalām ko
ik ho ga.e darīcha-o-dīvār-o-bām-o-dar
maiñ chup hī thā ki bol paḌā saarā ghar kā ghar
paa.ī thī kā.enāt hī tum ne to pyaar meñ
kyoñ luT ke phir tum aa ga.e ho is hisār meñ
kal shab main shahr-e-ishq se lauTa jo apne ghar
darwaze tane kasne laga mere haal par
bola daricha kaise akele idhar janab
kyon aur kahan pe chhuT gaya ham-safar janab
chup jo hua daricha to gunji sada-e-baam
ab kar sakoge sae tale mere tum qiyam
diwar boli karke muKHatab tamam ko
muhtaj ho gaya hai bechaara kalam ko
ek ho gae daricha-o-diwar-o-baam-o-dar
main chup hi tha ki bol paDa sara ghar ka ghar
pai thi kaenat hi tum ne to pyar mein
kyon luT ke phir tum aa gae ho is hisar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.