tare aur tum
kuchh taare mil kar tumhārī tasvīr banāte haiñ āsmān meñ
tum un tāroñ se ek baar mil aao
roz vo tumhāre hoñTh ke nīche kā til banānā bhuul jaate haiñ
phir mujhe apne uñgliyoñ kī poroñ se vo til banānā paḌtā hai
vo til banāte banāte aksar maiñ mauqa dekh kar tumhārī zulf tumhāre daa.eñ kaan ke pīchhe kar detā huuñ
phir kisī chamakte taare se banātā huuñ tumhāre ek kaan kā jhumkā
dūsrā jhumkā maiñ almārī se lene jaatā huuñ tab tak taare tumhārī tasvīr miTā dete haiñ aur maiñ
bas tumhārā jhumkā pakḌe pakḌe raat ko sub.h se milvā detā huuñ
kuchh tare mil kar tumhaari taswir banate hain aasman mein
tum un taron se ek bar mil aao
roz wo tumhaare honTh ke niche ka til banana bhul jate hain
phir mujhe apne ungliyon ki poron se wo til banana paDta hai
wo til banate banate aksar main mauqa dekh kar tumhaari zulf tumhaare daen kan ke pichhe kar deta hun
phir kisi chamakte tare se banata hun tumhaare ek kan ka jhumka
dusra jhumka main almari se lene jata hun tab tak tare tumhaari taswir miTa dete hain aur main
bas tumhaara jhumka pakDe pakDe raat ko subh se milwa deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.