tariKH ke murda-KHane se
naarī aur shūdar ko samān samajhne vaale mahā-purūsh
itihās ke pannoñ meñ kho ga.e haiñ
hoñT aaj bhī thartharāte haiñ
lafz maile na ho jaa.eñ
zamīn thī to pathrīlī
lekin apnā kuaañ khodā
to paanī mīThā niklā
phunkārte ābhūshan
sandūqoñ meñ band kar ke
chābī buzurgoñ ke havāle kar dī ga.ī
uḌte hue lafzoñ ko muTThiyoñ meñ pakaḌte hī
chāñd sharmāne lagā
raushnī kā saudā karne vāloñ ne
gahre gaḌhe khod kar
kirnoñ ko dafnānā chāhā
lekin vo zinda shiryānoñ meñ
lahū ban kar dauḌ ga.iiñ
masāmoñ se phūTte ujāloñ kī yūrish meñ
bah nikle jaane kitne 'mīr' o 'saudā'
kitne 'kālīdās'
ulTī pothī pakḌe pakḌe
jaane kab Dhaa.ī akhshar sīdhe
Dhaa.ī ulTe paḌhe
aur dariyā meñ Dupkī lagāne se pahle
sarasvatī ko kahte sunā
dushyant kī añgushtarī lahroñ ke havāle kar do
machhliyāñ chuġhul-ḳhor hotī haiñ
'bharat' ko apne andar thāme raho
tā-abad
nari aur shudar ko saman samajhne wale maha-purush
itihas ke pannon mein kho gae hain
honT aaj bhi thartharaate hain
lafz maile na ho jaen
zamin thi to pathrili
lekin apna kuan khoda
to pani miTha nikla
phunkarte aabhushan
sanduqon mein band kar ke
chabi buzurgon ke hawale kar di gai
uDte hue lafzon ko muTThiyon mein pakaDte hi
chand sharmane laga
raushni ka sauda karne walon ne
gahre gaDhe khod kar
kirnon ko dafnana chaha
lekin wo zinda shiryanon mein
lahu ban kar dauD gain
masamon se phuTte ujalon ki yurish mein
bah nikle jaane kitne 'mir' o 'sauda'
kitne 'kalidas'
ulTi pothi pakDe pakDe
jaane kab Dhai akhshar sidhe
Dhai ulTe paDhe
aur dariya mein Dupki lagane se pahle
saraswati ko kahte suna
dushyant ki angushtari lahron ke hawale kar do
machhliyan chughul-KHor hoti hain
'bharat' ko apne andar thame raho
ta-abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.