tariKH
ujālā kitnā bhī narm-ḳhū ho
vo tīrgī ke liye qayāmat kā mas.ala hai
baqā-e-jāñ kā mo.āmla hai
ujālā kitnā bhī muḳhtasar ho
siyāhiyoñ kī tavīl muddat
ḳhatīr tāqat se māvarā hai
hazār rāteñ bhī ik taraf hoñ
to phir bhī kyā hai
charāġh har raat se baḌā hai
ujālā kitnā bhī muḳhtasar ho
ujala kitna bhi narm-KHu ho
wo tirgi ke liye qayamat ka masala hai
baqa-e-jaan ka moamla hai
ujala kitna bhi muKHtasar ho
siyahiyon ki tawil muddat
KHatir taqat se mawara hai
hazar raaten bhi ek taraf hon
to phir bhi kya hai
charagh har raat se baDa hai
ujala kitna bhi muKHtasar ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.