tarikiyon ka hisab
nīm-ḳhvābīda bojhal subuk-sar huā
shab kī āġhosh meñ daf.atan jaag uThī
kasmasātī huī sar uThā ke chalī
shab kī āġhosh se sard bojhal havā
laḌkhaḌā ke chalī be-ḳhatar be-hazar
chuur nashshe meñ yak-chashm ifrīt-e-shab
aañkh kī surḳh golā.ī raushan kiye
hai havā ke ta.āqub meñ har moḌ par
kaun roke use kaun Toke use
haiñ tazādoñ ke aaseb is shahr meñ
naf.a o hirs o havas kī jabīnoñ ko bhī
chāñd ke ruup meñ Dhālne ke liye
dast-e-shab ne do-rūya imārāt par
raushnī kī lakīroñ se likkhe haiñ naam
shahr kī shāh-rāhoñ pe haiñ raqs meñ
nīlgūñ surḳh piile hare dā.ere
gaah jalte hue gaah bujhte hue
har añdhere pe hai raushnī kā naqāb
ik havā hai ki jis kī nigāhoñ meñ hai
shahr ke dil kī tārīkiyoñ kā hisāb
shahr ke shab-zada pairahan meñ kahīñ
kahkashāñ kī tarah raushnī to nahīñ
pairahan meñ syāhī ke har daaġh par
raushnī kī lakīroñ ke paivand meñ
aur is shahr ke dil kī qindīl par
raushnī kī lakīroñ ke dar band haiñ
nim-KHwabida bojhal subuk-sar hua
shab ki aaghosh mein dafatan jag uThi
kasmasati hui sar uTha ke chali
shab ki aaghosh se sard bojhal hawa
laDkhaDa ke chali be-KHatar be-hazar
chur nashshe mein yak-chashm ifrit-e-shab
aankh ki surKH golai raushan kiye
hai hawa ke taaqub mein har moD par
kaun roke use kaun Toke use
hain tazadon ke aaseb is shahr mein
nafa o hirs o hawas ki jabinon ko bhi
chand ke rup mein Dhaalne ke liye
dast-e-shab ne do-ruya imaraat par
raushni ki lakiron se likkhe hain nam
shahr ki shah-rahon pe hain raqs mein
nilgun surKH pile hare daere
gah jalte hue gah bujhte hue
har andhere pe hai raushni ka naqab
ek hawa hai ki jis ki nigahon mein hai
shahr ke dil ki tarikiyon ka hisab
shahr ke shab-zada pairahan mein kahin
kahkashan ki tarah raushni to nahin
pairahan mein syahi ke har dagh par
raushni ki lakiron ke paiwand mein
aur is shahr ke dil ki qindil par
raushni ki lakiron ke dar band hain
- Book : namuud (Pg. 148)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.