tariq ki dua
Interesting Fact
(On the battlefield of Andalusia) (Bal-e-Jibril)
(undulus ke maidān-e-jañg meñ)
ye ġhāzī ye tere pur-asrār bande
jinheñ tū ne baḳhshā hai zauq-e-ḳhudā.ī
do-nīm un kī Thokar se sahrā o dariyā
simaT kar pahāḌ un kī haibat se raa.ī
do-ālam se kartī hai begāna dil ko
ajab chiiz hai lazzat-e-āshnā.ī
shahādat hai matlūb-o-maqsūd-e-momin
na māl-e-ġhanīmat na kishvar-kushā.ī
ḳhayābāñ meñ hai muntazir laala kab se
qabā chāhiye us ko ḳhūn-e-arab se
kiyā tū ne sahrā-nashīnoñ ko yaktā
ḳhabar meñ nazar meñ azān-e-sahar meñ
talab jis kī sadiyoñ se thī zindagī ko
vo soz us ne paayā unhīñ ke jigar meñ
kushād-e-dar-e-dil samajhte haiñ us ko
halākat nahīñ maut un kī nazar meñ
dil-e-mard-e-momin meñ phir zinda kar de
vo bijlī ki thī nāra-e-lā-tazar meñ
azā.em ko sīnoñ meñ bedār kar de
nigāh-e-musalmāñ ko talvār kar de
(undulus ke maidan-e-jang mein)
ye ghazi ye tere pur-asrar bande
jinhen tu ne baKHsha hai zauq-e-KHudai
do-nim un ki Thokar se sahra o dariya
simaT kar pahaD un ki haibat se rai
do-alam se karti hai begana dil ko
ajab chiz hai lazzat-e-ashnai
shahadat hai matlub-o-maqsud-e-momin
na mal-e-ghanimat na kishwar-kushai
KHayaban mein hai muntazir lala kab se
qaba chahiye us ko KHun-e-arab se
kiya tu ne sahra-nashinon ko yakta
KHabar mein nazar mein azan-e-sahar mein
talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko
wo soz us ne paya unhin ke jigar mein
kushad-e-dar-e-dil samajhte hain us ko
halakat nahin maut un ki nazar mein
dil-e-mard-e-momin mein phir zinda kar de
wo bijli ki thi nara-e-la-tazar mein
azaem ko sinon mein bedar kar de
nigah-e-musalman ko talwar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.