tatilat
baḌoñ ko aur chhoToñ ko inhīñ sadmāt ne maarā
mujhe daftar unheñ college kī ta.atīlāt ne maarā
kabhī sardī kī chhuTTī hai kabhī garmī kī chhuTTī hai
ye sab us ke alāva haiñ jo haT-dharmī kī chhuTTī hai
kabhī ta.atīl khāne kī kabhī ta.atīl piine kī
paḌhā.ī do mahīne chhuTTiyāñ haiñ das mahīne kī
abhī parsoñ to hai rañgīnī-e-hālāt kī chhuTTī
phir us ke ba.ad puure maah hai barsāt kī chhuTTī
kabhī schōl meñ ustād ke sar-dard kī chhuTTī
havā-e-sard chal jaa.e to phir har fard kī chhuTTī
kabhī afsar ko thoḌā sā buḳhār aa jaa.e to chhuTTī
kabhī sasurāl se begam kā taar aa jaa.e to chhuTTī
kabhī Table pe rakh ke paañv so jaanā bhī chhuTTī hai
kabhī daftar se uTh kar gol ho jaanā bhī chhuTTī hai
abhī to dard ke āsār kuchh baaqī haiñ siine meñ
abhī to biis hī nāġhe hue haiñ is mahīne meñ
ġharaz jo tīn-sau-paiñsaTh dinoñ ke goshvāre haiñ
hamāre tīn-sau din haiñ faqat paiñsaTh tumhāre haiñ
baDon ko aur chhoTon ko inhin sadmat ne mara
mujhe daftar unhen college ki tatilat ne mara
kabhi sardi ki chhuTTi hai kabhi garmi ki chhuTTi hai
ye sab us ke alawa hain jo haT-dharmi ki chhuTTi hai
kabhi tatil khane ki kabhi tatil pine ki
paDhai do mahine chhuTTiyan hain das mahine ki
abhi parson to hai rangini-e-haalat ki chhuTTi
phir us ke baad pure mah hai barsat ki chhuTTi
kabhi school mein ustad ke sar-dard ki chhuTTi
hawa-e-sard chal jae to phir har fard ki chhuTTi
kabhi afsar ko thoDa sa buKHar aa jae to chhuTTi
kabhi sasural se begam ka tar aa jae to chhuTTi
kabhi Table pe rakh ke panw so jaana bhi chhuTTi hai
kabhi daftar se uTh kar gol ho jaana bhi chhuTTi hai
abhi to dard ke aasar kuchh baqi hain sine mein
abhi to bis hi naghe hue hain is mahine mein
gharaz jo tin-sau-painsaTh dinon ke goshware hain
hamare tin-sau din hain faqat painsaTh tumhaare hain
- Book : No Problem (Pg. 99)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.