tabdili
ek thā raaja ek thī raanī
kaun sunā.e ab ye kahānī
ab na sher ko jaal meñ pakḌe
aur na chuhā jaal ko katre
aur na jiite baazī kachhvā
aur na rahe ḳhargosh bhī sotā
chāñd kī buḌhiyā chalī ga.ī hai
suut kātnā chhoḌ chukī hai
hātim-tā.ī aur alī-bābā
sakhī saḳhāvat aur marjīna
koī sunātā nahīñ kahānī
na to daadā aur na naanī
ḳhatm hue sab jaadū Tone
qisse pariyoñ ke bhūtoñ ke
har dam T.v pesh-e-nazar hai
ab duniyā kā haal digar hai
T.v meñ cartōn aate haiñ
bachchoñ kā dil bahlāte haiñ
ek tha raja ek thi rani
kaun sunae ab ye kahani
ab na sher ko jal mein pakDe
aur na chuha jal ko katre
aur na jite bazi kachhwa
aur na rahe KHargosh bhi sota
chand ki buDhiya chali gai hai
sut katna chhoD chuki hai
hatim-tai aur ali-baba
sakhi saKHawat aur marjina
koi sunata nahin kahani
na to dada aur na nani
KHatm hue sab jadu Tone
qisse pariyon ke bhuton ke
har dam Tw pesh-e-nazar hai
ab duniya ka haal digar hai
Tw mein cartoon aate hain
bachchon ka dil bahlate hain
- Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 40)
- Author : Ameen Hazin
- Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.