tabdili
kisī ne kahā kaisī patthar dil hai tū
kyā ye kab huā nahīñ to
is dil par kuchh lage chīḳh uThtā hai
rotā hai ḳhuun bahātā hai
yaqīnan patthar to aisā nahīñ kartā
yā patthar kī tabī.at meñ bhī badlāv aayā hai
badlāv us mausam kī tarah
badlāv us kī bātoñ kī tarah
badlāv us muqaffal paḌe ghar kī tarah
jo kabhī jhūmtā thā ik parivār ke hone se
badlāv jo ik rote shaḳhs ko hañsā de
aur hañste ko rulā de
badlāv is badlāo kī tarah jo sab badal de
ye kaisā badlāv
patthar patthar hī hai yā badal gayā
merā dil dil hī hai yā badal gayā
koī to hai jo badal gayā
maiñ maiñ hī huuñ yā
kisi ne kaha kaisi patthar dil hai tu
kya ye kab hua nahin to
is dil par kuchh lage chiKH uThta hai
rota hai KHun bahata hai
yaqinan patthar to aisa nahin karta
ya patthar ki tabiat mein bhi badlaw aaya hai
badlaw us mausam ki tarah
badlaw us ki baaton ki tarah
badlaw us muqaffal paDe ghar ki tarah
jo kabhi jhumta tha ek pariwar ke hone se
badlaw jo ek rote shaKHs ko hansa de
aur hanste ko rula de
badlaw is badlao ki tarah jo sab badal de
ye kaisa badlaw
patthar patthar hi hai ya badal gaya
mera dil dil hi hai ya badal gaya
koi to hai jo badal gaya
main main hi hun ya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.