tabdili
sub.h-dam jab bhī dekhā hai maiñ ne kabhī
nanhe bachchoñ ko schōl jaate hue
raqs karte hue gungunāte hue
apne bastoñ ko gardan meñ Daale hue
uñgliyāñ ek kī ek pakḌe hue
sub.h-dam jab bhī dekhā hai maiñ ne unheñ
māmtā un kī rāhoñ meñ saaya kare
un ke qadmoñ meñ ḳhushbū bichhāyā kare
devtā un ke hāthoñ ko chūmā kareñ
man hī man un kī bātoñ pe jhūmā kareñ
sub.h-dam jab bhī dekhā hai maiñ ne unheñ
merā jī chāhtā hai ki maiñ dauḌ kar
ek nanhe ki uñglī pakaḌ kar kahūñ
mujh ko bhī apne schōl lete chalo
tā-ki ye tishna-e-ārzu-e-zindagī
phir se āġhāz-e-shauq-e-safar kar sake
subh-dam jab bhi dekha hai main ne kabhi
nanhe bachchon ko school jate hue
raqs karte hue gungunate hue
apne baston ko gardan mein Dale hue
ungliyan ek ki ek pakDe hue
subh-dam jab bhi dekha hai main ne unhen
mamta un ki rahon mein saya kare
un ke qadmon mein KHushbu bichhaya kare
dewta un ke hathon ko chuma karen
man hi man un ki baaton pe jhuma karen
subh-dam jab bhi dekha hai main ne unhen
mera ji chahta hai ki main dauD kar
ek nanhe ki ungli pakaD kar kahun
mujh ko bhi apne school lete chalo
ta-ki ye tishna-e-arzu-e-zindagi
phir se aaghaz-e-shauq-e-safar kar sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.