Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tafaut

Akhtarul Iman

tafaut

Akhtarul Iman

MORE BYAkhtarul Iman

    ham kitnā ro.e the jab ik din sochā thā ham mar jā.eñge

    aur ham se har nemat lazzat ehsās judā ho jā.egā

    chhoTī chhoTī chīzeñ jaise shahd makkhī bhin bhin

    chiḌiyoñ chuuñ chuuñ kavvoñ ek ik tinkā chunñā

    niim sab se ūñchī shāḳh pe kar rakh denā aur ghoñsla bunñā

    saḌkeñ kūTne vaale engine chhuk chhuk bachchoñ dhuul uḌānā

    aadhe nañge mazdūroñ ko pyaaz se roTī khāte dekhe jaanā

    ye sab lā-yānī bekār mashāġhil baiThe baiThe ek dam chhin jā.eñge

    ham kitnā ro.e the jab pahlī baar ye ḳhatra andar jaagā thā

    is gardish karne vaalī dhartī se rishta TūTegā ham jāmid ho jā.eñge

    lekin kab se lab sākit haiñ dil hañgāma-ārā.ī

    barsoñ se āvāz nahīñ aa.ī aur is marg-e-musalsal par

    in kam-māya āñkhoñ se ik qatra aañsū bhī to nahīñ Tapkā

    hum kitna roe the jab ek din socha tha hum mar jaenge

    aur hum se har nemat ki lazzat ka ehsas juda ho jaega

    chhoTi chhoTi chizen jaise shahd ki makkhi ki bhin bhin

    chiDiyon ki chun chun kawwon ka ek ek tinka chunna

    nim ki sab se unchi shaKH pe ja kar rakh dena aur ghonsla bunna

    saDken kuTne wale engine ki chhuk chhuk bachchon ka dhul uDana

    aadhe nange mazduron ko pyaz se roTi khate dekhe jaana

    ye sab la-yani bekar mashaghil baiThe baiThe ek dam chhin jaenge

    hum kitna roe the jab pahli bar ye KHatra andar jaga tha

    is gardish karne wali dharti se rishta TuTega hum jamid ho jaenge

    lekin kab se lab sakit hain dil ki hangama-arai ki

    barson se aawaz nahin aai aur is marg-e-musalsal par

    in kam-maya aankhon se ek qatra aansu bhi to nahin Tapka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tafaut Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now