tafawut-e-rah
hasīn kafūrī uñgliyoñ meñ safed cigarette liye
vo laḌkī khaḌī khaḌī apne shangarfī narm hoñToñ se yuuñ lagātī
ki jaise jīvan ke mom-ras ko vo ghūñT bhar bhar ke pī rahī ho
magar talab kā visāl-e-lab kā
ye lamha tez-gām o gurez-pā thā
siyāh eḌī zamīñ par is ko be-hisī se kuchal rahī thī
hasin kafuri ungliyon mein safed cigarette liye
wo laDki khaDi khaDi apne shangarfi narm honTon se yun lagati
ki jaise jiwan ke mom-ras ko wo ghunT bhar bhar ke pi rahi ho
magar talab ka visal-e-lab ka
ye lamha tez-gam o gurez-pa tha
siyah eDi zamin par is ko be-hisi se kuchal rahi thi
- Book : naquush (Pg. 246)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.