tah-e-KHanjar
aqallīyat kahīñ kī ho tah-e-ḳhanjar hī rahtī hai
halākat-ḳhez hāthoñ ke hazāroñ jabr sahtī hai
ḳhas-o-ḳhāshāk kī mānind sail-e-ġham meñ bahtī hai
na koī ḳhvāb āñkhoñ meñ na dil meñ aasrā koī
na jū-e-ḳhūñ se bachne kā nazar meñ rāsta koī
na mustaqbil kī āvāzeñ na manzil kī sadā koī
ḳhud apnī hī fazā meñ ḳhauf kā ehsās har lamha
adam-mahfūziyat kā duur tak ġhamnāk sannāTā
suhānī ho ke bhī be-raunaq-o-be-kaif sī duniyā
haqārat kī nazar nafrat kī chiñgārī ta.āqub meñ
musībat aage aage zillat-o-ḳhvārī ta.āqub meñ
jidhar jaa.e vahīñ tūfān-e-be-zārī ta.āqub meñ
zabāñ ma.atūb tahzīb-o-saqāfat daar kī zad meñ
ghar āñgan izzat-o-nāmūs kul talvār kī zad meñ
laboñ kī muskurāhaT ātishīñ yalġhār kī zad meñ
aqallīyat jahāñ bhī hai yahī us kā muqaddar hai
ye zaḳhmī be-amāñ maḳhlūq har sū zer-e-ḳhanjar hai
batā ai dil ye ġham kī raat hai yā roz-e-mahshar hai
aqalliyat kahin ki ho tah-e-KHanjar hi rahti hai
halakat-KHez hathon ke hazaron jabr sahti hai
KHas-o-KHashak ki manind sail-e-gham mein bahti hai
na koi KHwab aankhon mein na dil mein aasra koi
na ju-e-KHun se bachne ka nazar mein rasta koi
na mustaqbil ki aawazen na manzil ki sada koi
KHud apni hi faza mein KHauf ka ehsas har lamha
adam-mahfuziyat ka dur tak ghamnak sannaTa
suhani ho ke bhi be-raunaq-o-be-kaif si duniya
haqarat ki nazar nafrat ki chingari taaqub mein
musibat aage aage zillat-o-KHwari taaqub mein
jidhar jae wahin tufan-e-be-zari taaqub mein
zaban matub tahzib-o-saqafat dar ki zad mein
ghar aangan izzat-o-namus kul talwar ki zad mein
labon ki muskurahaT aatishin yalghaar ki zad mein
aqalliyat jahan bhi hai yahi us ka muqaddar hai
ye zaKHmi be-aman maKHluq har su zer-e-KHanjar hai
bata ai dil ye gham ki raat hai ya roz-e-mahshar hai
- Book : Ababeel (Pg. 16)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.