tah-e-nujum
tah-e-nujūm, kahīñ, chāñdnī ke dāman meñ
hujūm-e-shauq se ik dil hai be-qarār abhī
ḳhumār-e-ḳhvāb se labrez ahmarīñ āñkheñ
safed ruḳh pe pareshān ambarīñ āñkheñ
chhalak rahī hai javānī har ik bun-e-mū se
ravāñ ho barg-e-gul-e-tar se jaise saill-e-shamīm
ziyā-e-mah meñ damaktā hai rañg-e-pairāhan
adā-e-ijz se āñchal uḌā rahī hai nasīm
darāz qad kī lachak se gudāz paidā hai
adā-e-nāz se rañg-e-niyāz paidā hai
udaas āñkhoñ meñ ḳhāmosh iltijā.eñ haiñ
dil-e-hazīñ meñ ka.ī jāñ-ba-lab duā.eñ haiñ
tah-e-nujūm kahīñ chāñdnī ke dāman meñ
kisī kā husn hai masrūf-e-intizār abhī
kahīñ ḳhayāl ke ābād-karda gulshan meñ
hai ek gul ki hai nā-vāqif-e-bahār abhī
tah-e-nujum, kahin, chandni ke daman mein
hujum-e-shauq se ek dil hai be-qarar abhi
KHumar-e-KHwab se labrez ahmarin aankhen
safed ruKH pe pareshan ambarin aankhen
chhalak rahi hai jawani har ek bun-e-mu se
rawan ho barg-e-gul-e-tar se jaise saill-e-shamim
ziya-e-mah mein damakta hai rang-e-pairahan
ada-e-ijz se aanchal uDa rahi hai nasim
daraaz qad ki lachak se gudaz paida hai
ada-e-naz se rang-e-niyaz paida hai
udas aankhon mein KHamosh iltijaen hain
dil-e-hazin mein kai jaan-ba-lab duaen hain
tah-e-nujum kahin chandni ke daman mein
kisi ka husn hai masruf-e-intizar abhi
kahin KHayal ke aabaad-karda gulshan mein
hai ek gul ki hai na-waqif-e-bahaar abhi
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 40)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.