tahrir
havā lahroñ pe likhtī hai to paanī par tahrīr kartā hai
ki ham farzand-e-ādam kī tarah sab naqsh-gar haiñ
ahl-e-fan haiñ
zindagī taḳhlīq karte haiñ
sitāra TuuT jaatā hai
magar bujhne se pahle apnī is jagmag ibārat se fanā par ḳhanda-zan hotā hai
maiñ miT kar bhī aane vaale lamhoñ meñ daraḳhshāñ huuñ
jo pattā shāḳh se girtā hai
qirtās-e-havā par dā.eroñ meñ likhtā aatā hai
ki shāḳhoñ par taḌapte dosto
aglī bahāroñ meñ mujhe phir lauTnā hai phūTnā hai TūTnā hai ḳhaak honā hai
magar vo ḳhaak jo ashjār kī maañ hai
vo kauñdā jo ghaTā par sabt kar ke dastaḳhat apne
ba-zāhir jā chukā hotā hai
chhup kar dekhtā hai
kis tarah tārīkiyoñ meñ zalzale aate haiñ
manzar jaag uThte haiñ
vo jaañ jo pas-e-dar kitne barsoñ se tanhā hai
ik sahīfa hai
kabhī sūraj kī kirnoñ meñ use dekho
to puurī kā.enāt is meñ mujassam pāoge aur jhuum jāoge
kitābeñ paḌhne vaale to na māneñge
magar az-ḳhāk-tā-aflāk jo kuchh bhī hai vo tahrīr hai
alfāz haiñ eraab haiñ nuqte haiñ shoshe haiñ kasheñ haiñ dā.ere haiñ harf haiñ jin meñ tilism-e-zindagī
asrār kā iz.hār kartā hai
hawa lahron pe likhti hai to pani par tahrir karta hai
ki hum farzand-e-adam ki tarah sab naqsh-gar hain
ahl-e-fan hain
zindagi taKHliq karte hain
sitara TuT jata hai
magar bujhne se pahle apni is jagmag ibarat se fana par KHanda-zan hota hai
main miT kar bhi aane wale lamhon mein daraKHshan hun
jo patta shaKH se girta hai
qirtas-e-hawa par daeron mein likhta aata hai
ki shaKHon par taDapte dosto
agli bahaaron mein mujhe phir lauTna hai phuTna hai TuTna hai KHak hona hai
magar wo KHak jo ashjar ki man hai
wo kaunda jo ghaTa par sabt kar ke dastaKHat apne
ba-zahir ja chuka hota hai
chhup kar dekhta hai
kis tarah tarikiyon mein zalzale aate hain
manzar jag uThte hain
wo jaan jo pas-e-dar kitne barson se tanha hai
ek sahifa hai
kabhi suraj ki kirnon mein use dekho
to puri kaenat is mein mujassam paoge aur jhum jaoge
kitaben paDhne wale to na manenge
magar az-KHak-ta-aflak jo kuchh bhi hai wo tahrir hai
alfaz hain erab hain nuqte hain shoshe hain kashen hain daere hain harf hain jin mein tilism-e-zindagi
asrar ka izhaar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.