tahrir
maiñ ne farāz-e-jism par
mehrāb likh diyā
jab raat Dhal ga.ī
maiñ ne fasīl-e-shahr par
mahtāb likh diyā
maiñ rāt-bhar
barahna jism par likhā gayā
maiñ ne sunahre jism meñ
boī thī dāstāñ
maiñ ne siyāh raat ko
sauñpā thā māhtāb
vo raat
mere dil pe iztirāb likh ga.ī
vo raat
duur tak
sunahrī dhuup surḳh phuul
sail-e-āftāb likh ga.ī
main ne faraaz-e-jism par
mehrab likh diya
jab raat Dhal gai
main ne fasil-e-shahr par
mahtab likh diya
main raat-bhar
barahna jism par likha gaya
main ne sunahre jism mein
boi thi dastan
main ne siyah raat ko
saunpa tha mahtab
wo raat
mere dil pe iztirab likh gai
wo raat
dur tak
sunahri dhup surKH phul
sail-e-aftab likh gai
- Book : Lambi Barish (Pg. 194)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.