tai-shuda mausam
musāfir hue phir ik andhe safar ke
pata tai-shuda mausamoñ kā
kahīñ kho gayā hai
baḌe shahr ke ik club meñ,
dīvālī manāte hue
kal kisī ne kahā thā
cinema ke parde
ka.ī tiij tyauhār mele sameTe hue haiñ
tumheñ fikr kaisī
ye kyuuñ rañg chehre kā phīkā paḌā hai
tumhīñ sust qadmoñ pe nādim hue the
tumhīñ ko havas thī
ki raftār qaabū meñ kar leñ ḳhalā.eñ khañgāleñ
ga.e mausamoñ kā janāza uThā.e
kahāñ jā rahe ho
koī ibn-e-maryam na haath aa sakegā
chalo us ko miTTī ke nīche dabā deñ
yahī aane vāloñ ke haq meñ
munāsib rahegā
musafir hue phir ek andhe safar ke
pata tai-shuda mausamon ka
kahin kho gaya hai
baDe shahr ke ek club mein,
diwali manate hue
kal kisi ne kaha tha
cinema ke parde
kai tij tyauhaar mele sameTe hue hain
tumhein fikr kaisi
ye kyun rang chehre ka phika paDa hai
tumhin sust qadmon pe nadim hue the
tumhin ko hawas thi
ki raftar qabu mein kar len KHalaen khangalen
gae mausamon ka janaza uThae
kahan ja rahe ho
koi ibn-e-maryam na hath aa sakega
chalo us ko miTTi ke niche daba den
yahi aane walon ke haq mein
munasib rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.