ek shahanshah ne banwa ke
Interesting Fact
Film: Leader 1964
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal
saarī duniyā ko mohabbat kī nishānī dī hai
is ke saa.e meñ sadā pyaar ke charche hoñge
ḳhatm jo ho na sakegī vo kahānī dī hai
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal
taaj vo sham.a hai ulfat ke sanam-ḳhāne kī
jis ke parvānoñ meñ muflis bhī haiñ zardār bhī haiñ
sañg-e-marmar meñ samā.e hue ḳhvāboñ kī qasam
marhale pyaar ke āsāñ bhī haiñ dushvār bhī haiñ
dil ko ik josh irādoñ ko javānī dī hai
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal
taaj ik zinda tasavvur hai kisī shā.er kā
us kā afsāna haqīqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
is ke āġhosh meñ aa kar ye gumāñ hotā hai
zindagī jaise mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
taaj ne pyaar kī maujoñ ko ravānī dī hai
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal
ye hasīñ raat ye mahkī huī pur-nūr fazā
ho ijāzat to ye dil ishq kā iz.hār kare
ishq insān ko insān banā detā hai
kis kī himmat hai mohabbat se jo inkār kare
aaj taqdīr ne ye raat suhānī dī hai
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ taaj mahal
saarī duniyā ko mohabbat kī nishānī dī hai
ik shahanshāh ne banvā ke hasīñ tāj-mahal.....
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai
is ke sae mein sada pyar ke charche honge
KHatm jo ho na sakegi wo kahani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
taj wo shama hai ulfat ke sanam-KHane ki
jis ke parwanon mein muflis bhi hain zardar bhi hain
sang-e-marmar mein samae hue KHwabon ki qasam
marhale pyar ke aasan bhi hain dushwar bhi hain
dil ko ek josh iradon ko jawani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
taj ek zinda tasawwur hai kisi shaer ka
us ka afsana haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin
is ke aaghosh mein aa kar ye guman hota hai
zindagi jaise mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
taj ne pyar ki maujon ko rawani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
ye hasin raat ye mahki hui pur-nur faza
ho ijazat to ye dil ishq ka izhaar kare
ishq insan ko insan bana deta hai
kis ki himmat hai mohabbat se jo inkar kare
aaj taqdir ne ye raat suhani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj mahal
sari duniya ko mohabbat ki nishani di hai
ek shahanshah ne banwa ke hasin taj-mahal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.