taj-mahal
Interesting Fact
The first poem on Taj Mahal
allāh maiñ ye taaj mahal dekh rahā huuñ
yā pahlū-e-jamunā meñ kañval dekh rahā huuñ
ye shaam kī zulfoñ meñ simaTte hue anvār
firdaus-e-nazar tāj-mahal ke dar-o-dīvār
aflāk se yā kāhkashāñ TuuT paḌī hai
yā koī hasīna hai ki be-parda khaḌī hai
is ḳhaak se phūTī hai zuleḳhā kī javānī
yā chaah se niklā hai koī yūsuf-e-sānī
gul-dasta-e-rañgīñ kaf-e-sāhil pe dharā hai
billor kā sāġhar hai ki sahbā se bharā hai
āġhosh-e-tajallī meñ nazar soī huī hai
yā shaam ke zaanū pe sahar soī huī hai
yā bar-lab-e-jamunā koī doshīza nahā kar
baiThī hai takalluf se adāoñ ko churā kar
Thahrī huī yā husn ke markaz pe nazar hai
yā vaqt ke hāthoñ meñ garebān-e-sahar hai
yā koī bat-e-mast hai jo tair chukī hai
aa kar abhī dariyā ke kināre pe rukī hai
yā nuur kā Tiikā koī sāhil kī jabīñ par
yā ālam-e-bālā utar aayā hai zamīñ par
yā husn ke iqbāl kā chamkā hai sitārā
nikhrī huī chāñdī hai ki Thahrā huā paarā
hauzoñ ke ḳhazāne haiñ ki bikhre se paḌe haiñ
pahre pe nigahbān haiñ yā sarv khaḌe haiñ
yā taaj qarīne se abhī rakh ke zamīñ par
soyā hai koī bādshah-e-vaqt yahīñ par
tasvīr liye letā hai har hauz kā paanī
goyā ki javānī ke muqābil hai javānī
qudrat ne use auj diyā ḳhaak pe lā ke
ye saada sā motī thā ḳhazāne meñ ḳhudā ke
hai taḳht to maujūd sulaimāñ kī kamī hai
jannat kā darīcha to hai rizvāñ kī kamī hai
ye gul-kada kahiye jise firdaus kā ḳhāka
hai dafn yahīñ ḳhaak meñ sarmāya vafā kā
goshe meñ isī qasr ke do dil haiñ ham-āġhosh
sho.ale haiñ magar maslahat-e-vaqt se ḳhāmosh
is ḳhvāb meñ un ko nahīñ ḳhud apnī ḳhabar tak
ik nuur uḌā jaatā hai parvāz-e-nazar tak
nazroñ meñ abhī tak vahī dilchasp samāñ hai
āñkhoñ meñ mirī ḳhvāb-gah-e-shāhjāñ hai
allah main ye taj mahal dekh raha hun
ya pahlu-e-jamuna mein kanwal dekh raha hun
ye sham ki zulfon mein simaTte hue anwar
firdaus-e-nazar taj-mahal ke dar-o-diwar
aflak se ya kahkashan TuT paDi hai
ya koi hasina hai ki be-parda khaDi hai
is KHak se phuTi hai zuleKHa ki jawani
ya chah se nikla hai koi yusuf-e-sani
gul-dasta-e-rangin kaf-e-sahil pe dhara hai
billor ka saghar hai ki sahba se bhara hai
aaghosh-e-tajalli mein nazar soi hui hai
ya sham ke zanu pe sahar soi hui hai
ya bar-lab-e-jamuna koi doshiza naha kar
baiThi hai takalluf se adaon ko chura kar
Thahri hui ya husn ke markaz pe nazar hai
ya waqt ke hathon mein gareban-e-sahar hai
ya koi bat-e-mast hai jo tair chuki hai
aa kar abhi dariya ke kinare pe ruki hai
ya nur ka Tika koi sahil ki jabin par
ya aalam-e-baala utar aaya hai zamin par
ya husn ke iqbaal ka chamka hai sitara
nikhri hui chandi hai ki Thahra hua para
hauzon ke KHazane hain ki bikhre se paDe hain
pahre pe nigahban hain ya sarw khaDe hain
ya taj qarine se abhi rakh ke zamin par
soya hai koi baadshah-e-waqt yahin par
taswir liye leta hai har hauz ka pani
goya ki jawani ke muqabil hai jawani
qudrat ne use auj diya KHak pe la ke
ye sada sa moti tha KHazane mein KHuda ke
hai taKHt to maujud sulaiman ki kami hai
jannat ka daricha to hai rizwan ki kami hai
ye gul-kada kahiye jise firdaus ka KHaka
hai dafn yahin KHak mein sarmaya wafa ka
goshe mein isi qasr ke do dil hain ham-aghosh
shoale hain magar maslahat-e-waqt se KHamosh
is KHwab mein un ko nahin KHud apni KHabar tak
ek nur uDa jata hai parwaz-e-nazar tak
nazron mein abhi tak wahi dilchasp saman hai
aankhon mein meri KHwab-gah-e-shahjaan hai
- Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 927)
- Author : Mehshar Badayuni
- Publication : Alhamd Publication, Lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.