taj-mahal
hai kināre ye jamunā ke ik shāhkār
dekhnā chāñdnī meñ tum is kī bahār
yād-e-mumtāz meñ ye banāyā gayā
sañg-e-marmar se is ko tarāshā gayā
shāhjahāñ ne banāyā baḌe shauq se
barsoñ is ko sajāyā baḌe shauq se
haañ ye bhārat ke mahallāt kā taaj hai
sab ke dil pe isī kā sadā raaj hai
is kī kārī-garī hai baḌī be-misāl
vāqa.ī hai zamāna meñ ye lā-zavāl
ek shaffāf ā.īna samjhūñ na kyuuñ
is ko nargis kā gul-dasta kyuuñ na kahūñ
kyā miTā.egā naqsh is ke kaise koī
taaj 'hāfiz'-jī kyuuñ kar banā.e koī
hai kinare ye jamuna ke ek shahkar
dekhna chandni mein tum is ki bahaar
yaad-e-mumtaz mein ye banaya gaya
sang-e-marmar se is ko tarasha gaya
shahjahan ne banaya baDe shauq se
barson is ko sajaya baDe shauq se
han ye bhaarat ke mahallat ka taj hai
sab ke dil pe isi ka sada raj hai
is ki kari-gari hai baDi be-misal
waqai hai zamana mein ye la-zawal
ek shaffaf aaina samjhun na kyun
is ko nargis ka gul-dasta kyun na kahun
kya miTaega naqsh is ke kaise koi
taj 'hafiz'-ji kyun kar banae koi
- Book : Zamzame (Pg. 51)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
- Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.