taj-mahal
dost! maiñ dekh chukā tāj-mahal
.....vāpas chal
marmarīñ marmarīñ phūloñ se ubaltā hiirā
chāñd kī aañch meñ dahke hue sīmīñ mīnār
zehn-e-shā.er se ye kartā huā chashmak paiham
ek malika kā ziyā-posh o fazā-tāb mazār
ḳhud ba-ḳhud phir ga.e nazroñ meñ ba-andāz-e-savāl
vo jo rastoñ pe paḌe rahte haiñ lāshoñ kī tarah
ḳhushk ho kar jo simaT jaate haiñ be-ras a.asāb
dhuup meñ khopḌiyāñ bajtī haiñ tāshoñ kī tarah
dost maiñ dekh chukā tāj-mahal
.....vāpas chal
ye dhaḌaktā huā gumbad meñ dil-e-shāhjahāñ
ye dar-o-bām pe hañstā huā malika kā shabāb
jagmagātā hai har ik tah se mazāq-e-tafrīq
aur tārīḳh uḌhātī hai mohabbat kī naqāb
chāñdnī aur ye mahal ālam-e-hairat kī qasam
duudh kī nahr meñ jis tarah ubaal aa jaa.e
aise sayyāh kī nazroñ meñ khupe kyā ye samāñ
jis ko farhād kī qismat kā ḳhayāl aa jaa.e
dost maiñ dekh chukā tāj-mahal
.....vāpas chal
ye damaktī huī chaukhaT ye tilā-posh kalas
inhīñ jalvoñ ne diyā qabr-parastī ko rivāj
maah o anjum bhī hue jaate haiñ majbūr-e-sujūd
vaah ārām-gah-e-malika-e-ma.abūd-mizāj
dīdanī qasr nahīñ dīdanī taqsīm hai ye
rū-e-hastī pe dhuāñ qabr pe raqs-e-anvār
phail jaa.e isī rauza kā jo simTā dāman
kitne jāñ-dār janāzoñ ko bhī mil jaa.e mazār
dost maiñ dekh chukā tāj-mahal
.....vāpas chal
dost! main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
marmarin marmarin phulon se ubalta hira
chand ki aanch mein dahke hue simin minar
zehn-e-shaer se ye karta hua chashmak paiham
ek malika ka ziya-posh o faza-tab mazar
KHud ba-KHud phir gae nazron mein ba-andaz-e-sawal
wo jo raston pe paDe rahte hain lashon ki tarah
KHushk ho kar jo simaT jate hain be-ras aasab
dhup mein khopDiyan bajti hain tashon ki tarah
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
ye dhaDakta hua gumbad mein dil-e-shahjahan
ye dar-o-baam pe hansta hua malika ka shabab
jagmagata hai har ek tah se mazaq-e-tafriq
aur tariKH uDhati hai mohabbat ki naqab
chandni aur ye mahal aalam-e-hairat ki qasam
dudh ki nahr mein jis tarah ubaal aa jae
aise sayyah ki nazron mein khupe kya ye saman
jis ko farhad ki qismat ka KHayal aa jae
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
ye damakti hui chaukhaT ye tila-posh kalas
inhin jalwon ne diya qabr-parasti ko riwaj
mah o anjum bhi hue jate hain majbur-e-sujud
wah aaram-gah-e-malika-e-mabud-mizaj
didani qasr nahin didani taqsim hai ye
ru-e-hasti pe dhuan qabr pe raqs-e-anwar
phail jae isi rauza ka jo simTa daman
kitne jaan-dar janazon ko bhi mil jae mazar
dost main dekh chuka taj-mahal
wapas chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.