tajahul-arifana
jauhrī ko kyā ma.alūm kis tarah kī miTTī meñ kaise phuul hote haiñ
kis tarah ke phūloñ meñ
kaisī baas hotī hai
jauhrī ko kyā ma.alūm
jauhrī to saarī umar pattharoñ meñ rahtā hai
zar-garoñ meñ rahtā hai
jauhrī ko kyā ma.alūm
ye to bas vahī jaane
jis ne apnī miTTī se
apnā ek ik paimāñ
ustuvār rakkhā ho
jis ne harf-e-paimāñ kā e'tibār rakkhā ho
jauhrī ko kyā ma.alūm kis tarah kī miTTī meñ kaise phuul hote haiñ
kis tarah ke phūloñ meñ kaisī baas hotī hai
jauhri ko kya malum kis tarah ki miTTi mein kaise phul hote hain
kis tarah ke phulon mein
kaisi bas hoti hai
jauhri ko kya malum
jauhri to sari umar pattharon mein rahta hai
zar-garon mein rahta hai
jauhri ko kya malum
ye to bas wahi jaane
jis ne apni miTTi se
apna ek ek paiman
ustuwar rakkha ho
jis ne harf-e-paiman ka e'tibar rakkha ho
jauhri ko kya malum kis tarah ki miTTi mein kaise phul hote hain
kis tarah ke phulon mein kaisi bas hoti hai
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.