tajassus
is sarā.e meñ musāfir kā qayām
ek lamha be-yaqīnī kā
jis ko jannat yā jahannam jo bhī kah lo
kyā kisī pe inhisār
har koī apne amal kā zimmedār
bhuul kar bhī ye na socho
ki muqaddar bhī banātā hai koī
varna jo hai sāmne chup-chāp dekho
kyā bhalā hai kyā burā
jab talak sahne kī tāqat hai saho
hāl-e-dil apnā kisī se mat kaho
ab to rasman hī zabāñ par pursish-e-ahvāl hai
dam dilāsa pyaar hamdardī ḳhulūs
aaise sab alfāz siine kī luġhat se uḌ chuke haiñ
is sarā.e meñ musāfir kā qayām
maut ke khaTke se mar jaane kā naam!
is sarae mein musafir ka qayam
ek lamha be-yaqini ka
jis ko jannat ya jahannam jo bhi kah lo
kya kisi pe inhisar
har koi apne amal ka zimmedar
bhul kar bhi ye na socho
ki muqaddar bhi banata hai koi
warna jo hai samne chup-chap dekho
kya bhala hai kya bura
jab talak sahne ki taqat hai saho
haal-e-dil apna kisi se mat kaho
ab to rasman hi zaban par pursish-e-ahwal hai
dam dilasa pyar hamdardi KHulus
aaise sab alfaz sine ki lughat se uD chuke hain
is sarae mein musafir ka qayam
maut ke khaTke se mar jaane ka nam!
- Book : Ak Qatra ak Samandar (Pg. 96)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.